Wednesday, September 9, 2015

2 lines shayari

naa karo dard kaa izhaar-e-haal
warnaa jiiNa ho jaayegaa muhaal


dewaaro ke siwaa baakii nahiiN kuch ghar meN
awaazo ke siwaa baakii nahiiN kuch shahar meN


Aakhir-e-shab kii aaj raat hai
kal honii unse mulaaqaat ha


Rooh ke aaine mein jhaankne ki jasaarat ab mujhme hai nahin,
Aks wahi nazar aata hai jo dekhna nagavaar hai...


saamne hai usko log bura kehte hain
jisko dekha nahin usko log khuda kehte hain..


ham to makhiyoN ke paro par nishaane lagaate haiN
parinde to hamaare saamNe yuN hii chale aate haiN


Gham-e-aashiqui ka ehsaas ab apna sa lagta hai,
Khushiyon ka daaman ab paraaya sa lagta hai...


Sharab cheez hi aisi hai jo chhode se na chhoote,
Ek dafa sagar haath se gir bhi jaaye toh kambakht paimana na toote...


Wahii din hain wahii raatein magar bas tum nahii hotey
Charaghon se nahiiN sajtii hai shab jab tum nahii hotey


mai kaa pyaala tum chupaa loge hamse
magar maikhaana kaha le jaaoge hamse


aayi hai sabaa phir se khyaal-e-yaar liye huvey
baithaa kab se koi hasrat-e-deedaar liye huvey


ghamza-o-ishva-o adaa kya haiN
ai! sanam bataa teri zafaa kya haiN


Mausam-e-ishq ka ek khoobsurat lamha tham gaya ho jaise,
khwaabon ke gulistan mein ek aur gulab khil gaya ho jaise....


yeh aag hai ishq ki lagai hui,kuch sholay to bhadkaiN ge abhi
mera daman jale to jale,woh bhi to dhuaiN se tadpaiN ge kabhi.


Labon ko takalluf-e-izhaar nibhaane ki zaroorat nahi hai,
Yeh nazrein khamosh rehkar bhi mohabbat bayaan kar dengi......


hakim vo diljalo kaa thehra
aadateiN wahi sehra sehra


Unse nazar na milaane ki laakh koshish ki,
Par kambakht nazron ne nafarmaani karne ki jaise thaan rakhi thi...


Mohabbat mein tijaarat ke kanoon nahi chalte,
Isme shikast khane waale ko aashiq ke khitaab se navaaza jata hai....


jaraa saa dil dukhaa hai magar nafrat nahiiN hotii
teri zulmat se ai! jaana mujhe hairat nahiiN hotii


jisse tum samjhe fasaaNa vo haqiqat hai
sach itnaa hai mujhe tumse muhabbat hai


Teri nazrein payaam-e-mohabbat bhejte thakti nahin hain,
Par honton par jaise mausam-e-haya tham si gayi hai...


achaa diyaa tumne jawaab
ho kar jaa rahe hai laajawaab


Teri mohabbat ne ae zaalim, mujhe sharaab peena sikha diya,
Jab khalish hadd se guzarne lage toh muskurana sikha diya...


ek tujhe hasaane ki khatir khud ko rula diya........
tum chahte the jise tumhe usse mila diya..............


hamne bhi kabhi pyaar kiya tha, thoda nahi beshumaar kiya tha
badal gayee jindagi jab unhone kaha, arey pagli maine toh bas majak kiya tha.....


"woh namak zakhmo pe lagaye bhi to kya hua
Muhabbat karne ki wajah bhi to woh hai"


Hum nahi pete ki hum tumhe bhula sake
hum toh pete hai ki hum sare zamane ko bhula kar sirf tuje yaad kar sake


Tuesday, September 8, 2015

jo rooh mein utar jaye

tum mujhe rooh mein hi basaa lo faraz
dil-o-jaan ke rishte aksar toot jaya karte hain


iske paas rehta tha dosto ka hujoom
suna hai FARAZ kal raat ehsaas-e-tanhaai se mar gaya


kahe chaahe koii kuch bhii mujhe sanam
bebaak ho kar jawaab denge saare ham


yu to pathar ki bhi takdeer badal sakti hai
shart ye hai use dil se taraasha jaaye


apne siva batao kabhi kuchh mila bhi hai tumhein
hazaar baar lee hain tumne mere dil ki talaashiyan...


Gumaan-e-mohabbat ke haathon kuch yun ghayal hue hain,
Ke davaon aur duaon dono mein asar nahi.....


ishq kyaa chiiz hai ye puuchhiye paravaane se
zindagii jis ko mayassar huii jal jaane se


meri bahaduri ke kisse mash'hoor the shehar mein
tujhe kho jaane ke dar ne, kayar bana diya..


Gunchaa-e-shauq lagaa hai khilane
phir tujhe yaad kiyaa hai dil ne


ham ki bahaduro meiN naam ginaate hai
tere aane kii khabar se hii dar jaate hai


Honth tharrane lagte hain jab unse mukhatib hota hoon,
Shayad meri khamosh nazrein unse kuch bayaan kar jaye...... 


subah ro ro ke shaam hotii hai 
shab ta.Dap kar tamaam hotii hai

 mile ko_ii bhii teraa zikr chhe.D dete hai.n 
ke jaise saaraa jahaa.N raaz_daar apanaa hai 

merii zubaa.N se merii daastaa.N suno to sahii
yaqii.N karo na karo meherbaa.N suno to sahii 


is kaa gilaa nahii.n ki duaa be-asar ga_ii
ik aah kii thii vo bhii kahii.n jaa ke mar ga_ii


likhna hai to gam kaa fasaaNaa likh
reh gayaa jo dard pruraaNaa likh


kaisaa chalan hai gardish-e-lail-o-nahaar kaa
shikavaa har ek ko hai Gam-e-rozagaar kaa


apni had se na guzre koi ishq mein
jise jo milta hai naseeb se milta hai


umr guzar gayii ishaaroN meiN
naa dekhe hue nazaaroN meiN


Mera dil ki to fidrat hi fitna hone ki thi,
Par teri mohabbat ne ek waajib bahaana de diya..


Woh bhi shayad ro pade veeraan kagaz dekh kar
maine use aakhiri khat mein likha kuchh bhi nahin


zindagi mein is se badh kar ranj kya hoga FARAZ
uska ye kehna ki tu shayar hai deewaana nahi...


lihaazaa lehaaza baraabar har pahar
'badnaam' kaa nahiiN koiii mudaaris magar


Ho jaate ho barham bhi, ban jaate ho humdum bhi,
ae saaki-e-mehkhana, shola bhi ho shabnam bhi...

Monday, September 7, 2015

poetry which steels ur heart

Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k liye laal hari chooriyan khareedtay ho?
main kehta hon ab kisi ki kalai pe yeh rang acha nahi lagta.

Woh kehti hai k kia ab bhi kisi k anchal ko aakash likhtay ho?
main kehta hon ab kisi kay aanchal main itni wosaat kahan hai..

Woh kehti hai k kia mere baad kisi larki se muhabbat howi hai tumhai?
main kehta hon, muhabbat sirf larki per mushtamil nahi hoti.

Woh kehti hai k janan! lehjay main bohat udaasiyat si hai?
main kehta hon k titliyon ne bhi mairay dukh ko mehsoos kiya hai.

Woh kehti hai k kia ab bhi mujhay bewafa k naam say yaad kartay ho?
main kehta hon k mairay nisaab main yeh lafz shamil hi nahi.

Woh kehti hai k kabhi mairay zikar per ro bhi laitay ho gay?
main kehta hon k mairi ankhon ko har waqt ki phoowar achi lagti hai.

Woh kehti hai k tumhari baaton main itni gehrai q hai?
main kehta hon k teri judai k baad mujh ko yeh aizaaz mila haI....

---------------------------------------------------------------------------------------------------------

jise apna samjha wohi begana tha
jisne rulaya wohi zamana tha
jisne bataya zindagi ka matlab
kaise bhool jaoun uski seerat
jisne sekhaya pyar ka matlab
kaise yaad rakhoun uski soorat


Chaha tha isko roh ki gehraiyon ke saath!
Zinda hoon apni zaat ki tanhaiyon ke saath!
Roka nahi usko bicharne ke waqt bhi!
Apni wafa pe naz tha sachaion ke saath...


kismat sai s@b k0 shikAyAt q hotI h@i,
jo nAhIn miLtA uS saI mUhAbAt KyOn HoTi haI,
KitnI MuShKiLaI HaIn raHO0N maI DiL kI,
p}{iR bHi diL kO UsI kI ChA}{t q }{0tI hAi....


Hamain yad kar ke wo roya kare ge.....
Wo ashkoon se daman bhigoya kare ge....
Mere khoon ki mahndi na utry ki Sadiq
Wo hathon ko mal mal ke dhoya kare ge aur mere yaad main terpa karege


Humay koi ghum nahi tha gham-e-zindagi se pehley
Na thi dushmani kisi se teri dosti se pehley
Hai ye meri badnaseebi tera kya kasoor is may
Tere gham ne maar dala mujhe zindagi se pehley
Mera pyar jal raha hai aey chand aaj chup jaa
Kabhi pyar tha humain bhi teri chandni se pehley
Main kabhi na muskuraata jo mujhe ye ilmm hota
Ke hazaaron gham milain gay mujhe ek kushi se pehley


Ehssas hai tumko khone ka,
Ehsaas hai tanha hone ka,
Saari saansein ghut jaane ka,
Apna sab kuchh lut jaane ka.


Hazaaron dukh pare sehna, mohabbat mar nahi sakti
hai tum se bus yehi kehna, mohabbat mar nahi sakti

tera mere har khat ko parhna aur ro dena
mera har baar likh daina, mohabbat mar nahi sakti

kiya tha hum ne campus ki nadi pe ek haseen waada
bhale humko pare marna, mohabbat mar nahi sakti

jahan main jab tak panchi chehakte urte phirte hain
hai jab tak phool ka khilna, mohabbat mar nahi sakti

purane ahad ko jab zinda karne ka khayal aaye
mujhe bas itna likh dena, mohabbat mar nahi sakti

woh tera hijr ki shab phone rakhne se zara pehle
buhat roote huye kehna, mohabbat mar nahi sakti

agar hum hasratoon ki qabar mein hi dafan ho jain
tu yeh qutboon pai likh dena, mohabbat mar nahi sakti

puraane raabton ko phir naye wade ki khwaish hai
zara ik baar tu kehna, mohabbat mar nahi sakti

gae lamhaat fursat ke kahan se dhoond kar laoon
wo pehron haath pai likhna, mohabbat mar nahi sakti.


Us ney kaha mujh sey kitna piyar hai...
Main ney kaha sitaron ka koi shumar nahin
Us ney kaha k kon tumhen hai bohat aziz ?
Main ney kaha, dil pey jis ka ikhtiyar hai
Us ney kaha Kon sa Tofah tumhen main doon
MAin ne kaha wohi shaam jo abhi tak udhar hai
Us ney kaha Khizan main mulaqat ka jawaz...
Main ney kaha, qurb ka matlab bahar hai......
Us ney kaha senkron gham zindagi main hain
Main ney kaha gham nahin, jab ghamgasar saath hai
Us ney kaha saath kahan tak nibhaon gay...?
Main ney kaha jitni yeh saans ki taar hai......
Us ney kaha mujh ko yaqeen aaye kiss tarah
Main ney kaha, naam mera aitbaar hai....!!!


kitni Aziyat say uss nay mujh ko bhulayah ho ga.........
meri yadoon nay ussay khub rulayah ho ga................
baat bay-baat Aankh uss ki chalki ho gi............
uss nay chehray ko bazuoon main chupayah ho ga.........
Soocha ho ga uss nay din main kai baar mujhay..............
Namm hathely per bhi likh likh kay mitayah ho ga.............
jahan us nay mera zikar suna ho ga kissi say............
uss ki Aankhoon main koi Aansoo toh aya ho ga...........
Raat kay bhegnay tak neend na aai ho gi tujhay...........
tu nay takiyah ko bhi seenay say lagayah ho ga.............
hoo kay nidhaal meri yadoon say tu nay jaana.................
meri tasveer pay sar apna tikayah hoo ga...............
Poocha ho ga jo kisi nay tari halat ka sabab.................
Tu nay batoon main khub us say chupayah ho ga................


Har insaan kay ache naseeb nahi hote
Har insaan khuhiyon kay kareeb nahi hote
Kuch aise bhi hain jo patay hai mohabbat
Har insaan mujh jaise badnaseeb nahi hote......


Mera har pal teri yaad mein guzarta hai.............
Teri har mehak teri har khushbu hawaon me mehakte hai........
teri har batein teri har hasi fizaon me chahakte hai........
tera har gum tere har aanshu mere khwabon mein siskate hai...
ab tum hi kaho hum kya kare jab MERA DIL....................
sirf TERE liye HE dhadakta hai. ............................


us ki judai per hum raat bhar roote rahe
us ki yaad aai to har baat per roote rahe
ik lamhee ko mil kar bichar gia umer bhir k liye
iss shakss ko sooch kar jane kab tallak roote rahe
chaand ro baroo bethe thay hum jane kab say
kabhi sar jhuka k“daaman may moo chupa ke roote rahe
aate nahi hain loot ke loog jane wale
yeh baat samjhate samjhate Dil ko hum rotee rahe
uss shakss k chale jane say kitne mere khuwaab toote
un kirchiyoon ko sameettey rahe aur yoon hi roote rahe
samjh na saka woh mere khaloos ko fazah
hum ek issi baat per umer bher roote rahee...


Friday, September 4, 2015

muhabbat aur muhabbat se

chaand poonam ka deekha tu maangi Dua
piyaar zinda rahe piyaar zinda rahe....
Dil se dil jo mile tu diloon ne kaha
piyaar zinda rahe piyaar zinda rahe....
seair karne jo gulshan kihum tum gayye
bulboloon nay sunaye tarane naye......
khiltay kiltay phoohloon ne peghaam yahi diya
piyaar zinda rahe piyaar zinda rahe....
jab kahein koi piyaa ki koi mahfil saji
dil main sabke wafa gungunane lagi
her taraf hi ye naghma sunayee diya
piyaar zinda rahe piyaar zinda rahe....


mohabbat hi paoge har sawal men
mahboob hee milega har khyal men
judayi bhi mohbbat ko janm deti hai
pyar jinda hi rahega, har janjal men...


Jo Haqeeqat Hai Uss Haqeeqat Say
Door Mat Jao, Lot Bhi Aao
Ho Gayen Phir Kisi Khayal Mein Gumm
Tum Meri Aadatain Na Apnao


Adhoray khawab k Andar Kabhi Palkain Bichana Mat
Adoray Khawab Ankhoon Ko Bohat Takleef Detay Hain
Adhori Yaad Ko Dil Ke Zameen Main Tum Nahi Bona
Adhori Yaad Dharkan Main Bohat Chubti Sisakti Hai
Khalish Ban Ker Khatakti Hai
Lahoo Main Bijliyaan Ban Kar Bhtakti Hai
Adhoray Piyar Ko.........................
Lakin Chaloo Janay Doo Is Ko Tum
MUHABBAT PIYAR CHAHT ISHQ ............
Hotay he Adhoray Hain.........!!!!


DHADHAKNE DE AAG,SAB KUCHH JAL JAANE DE..
PIGHALNE DE DARD,PATTHAR KO GAL JAANE DE..
MARUSTHAL KE KATEELAY JHAADON KA MANJAR..
JARA SA AAJ KHUSH HAI,ROK MAT BAHAL JAANE DE...


khushbuon ko bikhar jane de
chaman mahak uthega..
is sukhad ghadi men jaanam
man panchhi chahak uthega..


Main Aaj Bhi Chup Hoon,
Main Kal Bhi Chup Thi,
Log Kehte Hain Kuch To Bolo,
Apni Khamoshi Ke Band Kholo,
Main Sochti Hoon Kya Bolun,
Jo Kuch Mere Dil Mein Hai Kisse Kahun,
Unse Jo Naheen Jante,
Jazbon Ki Haqeeqat Kya Hai,
Rooh Ke Sannaton Mein Ghulti Hui,
Qatra Qatra Si Azeeyat Kya Hai,
Jo Samajhte Hain Ke Insaan FaQat,
Chand Ashiya-E-Zaroorat Ka Hai Mohtaj.


Ye Mohabbatein Ye RafaQatein,
Ye Khuloos-O-Wafa Ki Raahatein,
Sab Hain Mani Lafzon Ke Gharonde Hain,
Jin Mein Baith Kar Insaan,
Haqeeqaton Se Faraar Chahta Hai,
Magar Meri Soch In Se Mukhtalif Hai,
Aur Ye Hi Tanaav Ye Hi Nafraton Ka Baais Hai,
Main Kal Bhi Chup Thi,
Main Aaj Bhi Chup Hoon...


tuj ku ehsas hi kabb hy ky kisi dard ka dagh
aankh sy dil main utrr jaye tu kya hota hy
tu ky semaab tabiat hy tujy kya maloom
mousam-e-hijer tehr jayee tu kya hota hy


Gham K Sang'Joog Achay Lagte Hain
Mus'taqeel Roog Achay Lagte Hain
Mujh Say Kohi Wada 'ayee' Wafa Ne Karna
Mujh Ko Bewafa Loog Achay Lagte Hain.....!!


Husan ki Adaalat Main Aajzi Tu Chalti Hai
Martabey Nahi Chaltey
Dosti K Rishton Ki Perwarish Zaroori Hai
Silsiley Tauluq K Khud Se Ban Tu Jatey Hain
Lakin
In Shagoofon Ko Tootney Bikherney Se
Rokna Bhi Parta Hai
Shahton Ki Mitti Ko Aarzoo K Poday Ko
Seenchna Bhi Parta Hai
Ranjishon Ki Baaton Ko Bhoolna Bhi Parta Hai
Dard Phel Jay Tu Ak Waqt Aata Hai
Dil Dharkta Rehta Hai
Aarzoo Gazidon K Hoasley Nahi Chaltey
Dasht-Egeeke Yaqeeni Main Aasrey Nahi Chaltey
Rehbaroon Ki Aankhon Main
Manzilain Na Jab Tak Hon
Qafley Nahi Chaltey
Ik Zara Tawajah Se Dekhiye Tu Khulta Hai
Loog In Per Chaltey Hain Raastey Nahi Chaltey
Sochney Samajhney Se Saath Saath Chalney Se
Duriyan Simat'ti Hain Fasley Nahi Chaltey
Khuwab Khuwab Aankhon Main Ratjagey Nahi Chaltey
Darguzar K Halqey Main Masaaley Nahi Chaltey
Do Dilon Ki Qurbat Main Teesra Nahi Hota
Wastey Nahi Chaltey
Bakht Saath Chalta Hai Tala'e Aazmaon K
Waqt Raam Karney Main Tajziyon K Daway Kiya
Tazjiye Nahi Chaltey
Ishq K Ilaqey Main Hukm-e-Yaar Chalta Hai
Zaabtey Nahi Chaltey.....!

Thursday, September 3, 2015

dil ki bat sun k dil khud udas hai

Sada Say Ik Chahray Per Kiya Jaduger Si Aankhain Hain!
Jo Daikhy In Ka Ho Jaey
Jo Utray Woh Thehar Na Paey
Kitny SapnAy JaaG Rahy Hain
Kitnay SapnAy Jaad Rahy Hain
In PalkOon K SaEy SaEy
Shamma-e-Saher, Chara Ger Si , NamaBer Si Aankhain Hain!
AnjAni, Pehchani Bhi
Apni Aur Beegani Bhi
Aik Hi Manzer Ka Hissaa Hain!
Aks Bhi Aur Hairani Bhi
Sahil Jaisi Lagti Hain Woh Aur Bhanwer Si Aankhain Hain
Sada Say Ik Charay Per Kiya Jaduger Si Aankhain Hain...!!!!


आईने को देख के मुझे उसकी सूरत याद आती है
दिल में बसी थी वो तमाम आरज़ू याद आती है
ये आइना मुझे चिढाता है या मेरी तरह पागल है
मेरे करीब से हर बार कोई आवाज़ आती है


Dil Par Kisi Ka Zor Nahi Hota
Dil Ki Awazo Ka Shor Nahi Hota
Iske Khone Ka Gam Kare Bhi To Kaise Kare
Dil Churane Wala Bhi Chor Nahi Hota


Waqt thoda hai pass mere ,par bahut kuch karna abhi baki hai
Wo zakhm jo apno ne diye hai, unhe bahrna abhi baki hai,
Teri dosti ki adat si ho gayi hai, kuch der tere sath chalna abhi baki hai,
Samsan chodkar kuch der ke liye kahi mat jana ,warne meri rooh kahegi
"Ruk ja ki tere yaar ka jalna abhi baki hai"


Sab se chupa kar dard ,jo woh muskura diya…
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya…
jane kya us ko logon se thein shikayatein…
tanhaiyon ke daish mein khud ko basa diya…
khud bhi woh hum sey bichar kar adhura sa ho gaya….
mujh ko bhi itne logon mein tanha bana diya…


KHOYA JO USNE WO APNA LAGTA HAI
DO PAL USKE SAATH BITANA ACHHA LAGTA HAI
RISTA HAI NA JANE MERA KYA USSSE kI
KHABON ME VI USKA ANA ACHHA LAGTA HAI


Hai mujhko uski talaash kyamat ki hadon tak,
Sadiyon se yehi pyas kyamat ki hadon tak,
Tei kar rahe hain iss tarha ham Dil ka safar,
Gam ka pehan Libas Kyamat ki hadon tak,
Hai ishq b,Khamoshi b ,Izhaar nahi hai ,,,,
Rehna hai yehi Raaj kyamat ki hadon tak,,


Wo Bekraari Woh Tadap Aur Wo Raaton Ko Jaagna,
Ab Kahte Hain Ki Woh To Bas Dil Ka Shuroor Tha,
Unhe Sapnon Mein Dikh Gaya Kis Aur Ka Chehra,
Hamaari Mohabbat Ka Essme Kya Kusoor Tha.


dil ki bat sun k dil khud udas hai
main hu smundar fir b pyas hai
ye hawaye hai mahki mahki si
shayad tu mere aas paas hai


ugate suraj ko naman karna bhata hai hame..
andhere men , ek diya dharna aata hai hame..
hamne ujaalon ko pala sada bachchon ki tarha
khud ke mijaj ko bhi sudharna aata hai hame..


hamto nagad narayan pasand karte hen..
sureela sangeet gayan pasand karte hen..
kapat chhando ne thaga, jeebhar janha ko
jhanjhaton men palayan pasand karte hen..


Aisa kerna k chand say kuch matii lana..
Us matii say dow putlay(statue) bna'na..
Ik teray jaisa..
Ik meray jaisa..
Un putloon ko phir tum tor daina..
Un say phir dow putlay bna'na..
Ik teray jaisa..
Ik meray jaisa..
Ta k kuch kuch TUM mein HUM reh jain..
Kuch kuch HUM mein TUM reh jana...!!


CHAND SE JO ANMOL , MATI LAYI JATI HAI.
USASE ABHI STATUE, NAHI BANAYI JATI HAI
HAR BAAT TERI KEEMATI HAI NAYE DAUR ME
PREM KI LUTIYA IMAAN SE DUBOYI JATI HAI


jo fareb main ne khaye tujhe raazdaan samjh kar
unhain kaise bhool jaown aik dastaan samjh kar
mujhe gour se na dekho main wo na muraad dil hoon
jisay tu ne round dala aik be zubaan samjh kar
unhain kaise bhool jaown aik dastaan samjh kar
jo fareb main ne khaye tujhe raazdaan samjh kar
na mitawo thokaroon se ye mazaar hai kissy ka
zara raham kar khuda ra kissi ka nishaan samjh kar
unhain kaise bhool jaown aik dastaan samjh kar
jo fareb........................
aray o jalane wale wo tere hi tha nasheman.
jisay tune phoonk dala mera ashiyaan samjh kar
unhain kaise bhool jaown aik dastaan samjh kar
jo fareb main ne khaye tujhe raazdaan samjh kar


DIL DIYA AITBAAR KI HADD THI
JAAN DI YE MERE PIYAR KI HADD THI
MAR GAYYA MAIN KHULI RAHAIN ANKHAIN
YE TERE INTIZAAR KI HADD THI


ham vigat diwas ki baat nahi karte.
viswas me le kabhi ghat nahi karte
ji,hame santosh deti is janha ki dosti
nafrat ke waste mulakat nahi karte

Tuesday, September 1, 2015

KUCHH TUM KAHO-KUCHH HAM KAHEN

Mera dard kaisay wo janta
Meri baat kaisay wo manta

Wo to khud fana k safar pe tha
Usay rokna bhi mahaal tha

Kahan jaogay mujhe chor kar
Main ye poch poch k thak gaya

Wo jawab mujhko na de saka
Wo to khud sarapa sawal tha

Dam-e-wapsi usay kya hua
Na wo roshni na wo tazgi

Wo sitara kaisay bikhar gaya
Wo jo aap apni misaal tha

Wo mila to sadyon k baad bhi
Meray lab pe koi gila na tha

Usay meri chup ne rula dia
Jisay guftugu main kamal tha

--------------------------------------------

Mohabbat dil pe dastak hai!

Badan ko rooh ka

Raasta dikhati hai

Mohabbat ik dua hai

jo!

Hamesha saath rehti hai

Mohabbat thandi chaon hai

jo!

Sehraon ke saffar main

Kaam aati hai

Mohabbat us ka pallo hai

Jahan umeed ke kuch lafz

Bandhey hain

Mohabbat us ki aankhain hain

ki!

Jin main khuwab jaagtey hain

Mohabbat uska chehra hai

ki!

Jis main dil ki teh main

Rakhi khuwahisain

Saans leyti hain

Mohabbat dil pe dastak hai!

----------------------------------------

TUFAN KE AANE KA MALAL ,MAN SE NIKAL JANE DE.
IN MOTIYON KO KUCHH , YUN HI PIGHAL JAANE DE..
JAB KUCHH HALKAPAN MAHSHOOS HO TAB KAHNA...
KISI BAHANE HI SAHI , IS MAN KO BAHAL JAANE DE...........


LOLI POP DEKHKAR LALCHANA NAHI..
KISI SIRFIRE KO APNA BANANA NAHI..
SAWDHAAN RAHO , MAT BAHKO.......
MUTTHI MEN , APNI JAMAANA NAHI..


MAN MEN UTHA PATAK JAARI HAI..
KANHI JANE KI KYA TAIYARI HAI..
NIKALTE HO ROJ NAYE LIWAS MEN,
LABON PE LALI ANKH KAJRARI HAI..


RAH LAMBI AUR SAMAY KAM HAI PYARO.
KISI KE.. HUKUM KA ..SITAM HAI PYARO..
SATH JINKE HAM CHAL RAHE HEN AJ TAK,
BEPANAAH PREETI , PAK ILAM HAI PYARO...


HAME DEKHOGE TO MUNH SIKOD LOGE..
PEETH FER APNI HAATH BHI JOD LOGE..
HAM UMRA KE CHAUTHE PADAW PAR HEN,
HAQIKAT JANTE HI PEECHHA CHHOD DOGE..


INSANIYAT KE NAATE TUM NIBHA NAHI SAKE..
HO RAKT KE PYASE PEE RAKT NAHI THAKTE..
HAI KHOON MEN TUMHARE YESI HI KOI FITRAT,
WOH FIR NAHI SAMBHALTE AMROOD SE TAPKTE...


SUNSAN MEN BHI JHINGUR,JHANKAR KARTE RAHTE..
YANHA JUGNUO KE JALWE SHINGAR SE MAHAKATE..
KUCHH BHEDIYON KI DAHSHAT HAI IS KADAR PYARE,
BAM FODKAR PADOSI KE SHAHAR MEN THAHARTE..

Monday, August 31, 2015

BANHO MEN BHAR LENA

Mohabbatain jab shumaar karna to saazishain bhi shumar karna
jo mairay hissay main aai hain wo aziyyatain bhi shumaar karna
jalaey rakhon gi subha tak main tumharay raston main apni aankhain
magar kahin zabt tout jaey to baarishain bhi shumaar karna
jo harf koh-e-wafa pay likhhay huey hain unn ko bhi daikh laina
jo raaigaan ho gain wo saari ebaratain bhi shumaar karna
yeh sardion ka udaas mousam kay dharkanain barf ho gai hain
jab inn ki yakh bas’tagi parakhna tamazatain bhi shumar karna
tum apni majboriyoun kay qissay zaror likhna wazahaton say
jo mairee aankhon main jall bujhi hain wo khwahishain bhi shumaar karna


Jindgi Jitni rahi Theek nibha gayi hai..
Dekhlo faisle ki ghadi aa hi gayi hai..
unke bachne ki ummeed kanha rahi,
Samasya purjor se ladkhada gayi hai..

Meri har baat ko majak men mat talo
gunah sab karte hen bhram mat palo
hajar kaydon se bhari yah duniya hai
tum chahte agar to ekadh aur banalo
Nasheeb najuk hai khilaune ki tarha
darakne na paye yatan se sambhalo

KUDRAT HAME KAISE-KAISE KHEL DIKHATI HAI..
PET BHARNE KE TAREEKE SABKO SIKHATI HAI..
HAR TARAF SHORGUL KHOON KI PYAS KA  HAI,
TUM BHI JHAPATTA  MARO ISHARA BATLATI HAI..
NEKI KA RASTA SABKE HISSE MEN AATA SUNLE,
YAH RASM HINSAK PASHUON KO BHI BHAATI HAI...

JISM SE JAB DIL KO ALAG KAR DIYA JAYEGA..
TAB KAUN PAHLE MAREGA SAMAJH JAYEGA..
ANGINT ANGO SE HI  JISM BANTA HAI PYARE,
DIMAG BHI KYA CHEEJ HAI ANDAJ LAGAYEGA..

KHUWAB MEN TERE SHAITAN BHI KHUB AAYA HAI..
WAH KANHI DOOR SE NAHI , TERA HI BANAYA HAI,
DAR KI VAJAH KOI SAAMNE TO AATI NAHI ..SUNIYE,
BE SIR PAIR KE DAR NE , SABHI KO DARWAYA HAI..

KITNE MUKHAUTE BADAL KE AATE HO
HAQEEKAT KO HAMSE CHHUPATE HO
HAMARI NAJAR NA LAGEGI TUMHE AAJ,
GHAYAL HOON IS KADAR MUSKATE HO.

asli ghee ki  baat mat kariye sahab..
aankh mund ghat mat kariye sahab
jab khud pe gujrti , tab dard hota hai
ho sake pakshpat mat kariye sahab 

GALAT BOLNE SE TAUBA TO KAR LEEJE..
PYAR KE PUJARI KO PYAR HI DE DEEJE..
TERI MEHARBAANI KA ASAR DIKHTA HAI,
KISI KA DIL DUKHE ,YE KAAM MAT KEEJE...

ek dost ne pyar ka paigaam bheja hai..
kisi aur ke nahi mere naam bheja hai..
maine use choom liya mathe lagaaya,
bachpan ki yaad ne salaam bheja hai..

fool ka har lafz  kuch yoon kaha gaya apni kahani 
kisi ki kitab main rakha gulab hoon main 
raste main pada fool nahi 
kisi ke sapno ki tabbir hoon main mandir main arpan palash nahi 
kadr kar aio nazm meri kisi premi ka pyar hoon main chita ka sringar nahi 

SAHI AUR GALAT KA ANDAAJ HONA CHAHIYE ...
ZINDGI MEN PYARE HAMRAJ HONA CHAHIYE ...
WAQT PAR TUMHARA JO SATH NAHI CHHODE ..
SHAHJAHAN TUJHKO MUMTAJ HONA CHAHIYE

BHAR JAYE TERI GAGAR YAH CHAH RAHI MERI ..
AB AUR NAHI CHHALKE , HAMRAAH  RAHI MERI ..
KAB DARD FIR UTHEGA AB HAI NAHI THIKAANA ,
MAIN JANTA HOON TUMKO PARWAH RAHI MERI ..

KUCHAL DO SAPOLE FAN UTHA NAHI PAYE..
AB EKTA MEN SENDH KOI LAGA  NAHI PAYE ..
DUST YANHA FOOT AUR  NAFRAT FAILAATE,
SOYI HUYI VISAMTA KO WO JAGA NAHI PAYE ..

PREET BHARE GEET YANHA TEJ BAJE PYARE ...
MAHAK UTHE GAANW GALI BHED TAJE PYARE
PREM KE PUJARIYON KO AB AUR MILE MAUKA
SARSON KE PHOOLON SE KHET SAJE PYARE ...

sandeh se swayam door rah pate nahi hen ..
khud banaye niyamo par chal pate nahi hen ..
uthayigiron ko sath liye ghoomte sadkon pe,
samasyayen bigad lete suljh pate nahi hen .
udhari le liya sauda udhar se phir nahi jaana ,
zindgi hai bahut lambi samajh pate nahi hen .

Dil baichne aye thay bazar ki janib
takte rahe herat se kharidar ki janib
kia khub krishma ha tere dast e shifa ka
...phir zindagi loat ayee hai bimar ki janib
sahra ki karri dhoop rahi apna muqadar
barhte rahe saaye teri deewar ki janib
kesa ye ishara ha teri shoakh nazar ka
inkar ki janib ha na iqrar ki janib
wo ishq haqiqi ho k ho ishq mjazi
her rasta jata ha dar e yaar ki janib....

Bas Ek Meri Baat Nahin Thi, Sab Ka Dard DECEMBER Tha,
Baraf K Shehr Mein Rehne Wala, Ek Ek Fard DECEMBER Tha,
Pichhle Saal K Aakhir Mein Bhi, Hairat Mein Hum Teeno They,
Ek Main Tha, Ek Tera Gham, Ek Be-Dard DECEMBER Tha,
Ab Main Tumhein Bataon Kaise, Is Mein Kitni Shiddat Thi,
Yakh-Basta They Mere Aansoo, Itna Sard DECEMBER Tha,
Apni Apni Himmat Thi, Aur Apni Apni Kismat Thi,
Hath Kisi K Neele They, Aur Peela Zard DECEMBER Tha,
Phoolon Par Tha Sakta Taari, Khushboo Sehmi Sehmi Thi,
Khauff Zada Tha Gulshan Sara, Dehshat-Gard DECEMBER Tha,
Yeh Jo Teri Aankh Mein Paani, Yeh Jo Teri Baad Mein Sardi,
Itna Mujhe Batao Tum, Kya Humdard DECEMBER Tha,
-Bas Ek Meri Baat Nahin Thi-
Sab Ka Dard DECEMBER Tha......!!!

Wednesday, August 26, 2015

EK LAMHE KE LIYE TUM AAYE YANHA AUR CHALE GAYE

Uss simt ko chalay ho to itna usay kehna
Ab koi nahi harf-e-tamana usay kehna...
Tum ney hi kaha tha to yaqeen muj ko hua tha,
Chahat nahi hoti kabhi ruswa usay kehna...
Duniya to kisi hal mai jeenay nahi deti,
Umeed pay qayam hai yeh dunya usay kehna...
Zarkheez zameney kabhi banjar nahi hotein,
Darya hi badal letey hain rasta usay kehna...
Khuch loag safar kay liye mozoon nahi hotay,
Khuch rastay kat'tay nahi tanha usay kehna..


Tanhaa tanhaa ham ro le.nge mahafil mahafil gaaye.nge
jab tak aa.nsuu paas rahe.nge tab tak giit sunaaye.nge
tum jo socho vo tum jaano ham to apanii kahate hai.n
der na karanaa ghar jaane me.n varanaa ghar kho jaaye.nge
bachcho.n ke chhote haatho.n ko chaa.nd sitaare chhuune do
chaar kitaabe.n pa.dh kar vo bhii ham jaise ho jaaye.nge
kin raaho.n se duur hai ma.nzil kaun saa rastaa aasaa.n hai
ham jab thak kar ruk jaaye.nge auro.n ko samajhaaye.nge
achchhii suurat vaale saare patthar-dil ho mumkin hai
ham to us din raa_e de.nge jis din dhokaa khaaye.n


SUNA TUMHARA GEET MADHUR TAB GANE PE MAJBOOR HUYE..
AISE HEN HALAAT VIRODHI , TUMSE...... FIR HAM DOOR HUYE..
KAUN BANTA KHEL-KHILAUNE , MANHGAYI ...MUNH FAADE HAI..
SABJI ROTI KAISE KHANYE , GHAR KA BAZAT....... BIGAADE HAI..
PIYA RAAT MEN PEEKAR AAYE , APNE MAD MEN CHOOR HUYE..
AISE HEN HALAAT VIRODHI ,TUMSE.......FIR HAM DOOR HUYE..
JALE PE NAMAK GIRAYA USNE , DUKHIT HUWA MAN BECHARA..
APNO SE MAIN HAAR GAYI HOON , KOI BACHA NA AB CHAARA..
PREET KANHA KHO GAYI AANKH SE,AISE NAINA KROOR HUYE..
AISE HEN HALAAT VIRODHI , TUMSE.......FIR HAM DOOR HUYE..
TUMSE CHAND AUR SURAJ KI , SUNDARTA...... HAM PAYE RAHE..
SUKH-DUKH TERE SANG SAATH MEN SARE HAM BISRAYE RAHE..
JINKO HAMNE MOTI SAMJHA , WE SAPNE..... SAB DHOOR HUYE ..
AISE HEN HALAAT VIRODHI , TUMSE.........FIR HAM DOOR HUYE..


Aik tashnagi thi apne muqadar main kuch na tha
kham bi tehi the shisha wa sagar main kuch na tha
Sahil pe the to kitne hi gohar nazar main the
Hum gotazan huwey to samandar main kuch na tha
Koy talb na koy tamana na aarzo
Mere khalos k pasmanzar main kuch na tha
Lutne k baad bhi hay fragat ussi tara
Lutne se pahle bhi mere ghar main kuch na tha
Zehnoon ki aazadi ne tarashe naye khuda
Teshe main warna kuch na tha pathar main kuch na tha
Gardaab aztarab tha ya aik moj darad
Is k ilawa dil k samandar main kuch na tha


is dharti ki hariyali men jeevan basta hai..
isko aur hara rakhne ka ek hi rastaa hai..
prem sahit inki rakhwali hamo hi karna hai ..
bematlab ke awrodhon se nahak darna hai..


Ek ajeeb sa Akelapan
Hai meri zindagi mei
Tu hai saath bhi..
Aur nahi bhi hai meri zindagi mei
Kisko batuon kisko samjhaun
Hai kya yeh malal meri zindagi mei
Tere khwab hai
Tere khayal hai
...Bas tera deedar nahi meri zindagi mei
Hai kitna kuch haasil-phir bhi ek adhurapan
Hai meri zindagi mei
Aduri aarzoo..
Adhuure khwaab
Hai meri zindagi mei
Sheeshey ki tarah..
Aankhon me chubhte hai ye khwaab meri zindagi me
Thei shesshay ki tarah saaf..
Thei tere hi yeh khwaaab..
Meri zindagi mei
Hai tadap
Hai jhunjhulahat
Meri zindagi mei..
Teri chahat
Hai meri aadat
Tere bin - kuch nahi
Meri zindagi mei
Hai tanhai
Hai tadap
Meri zindagi mei
Kisko batau
Kisko samjhau
Hai lambi bohot dastaan
Nahi hai vaqt mere liye
Kisi ki zindagi mei
Phir sochta Hun
Hai yeh kahani teri meri
Kyo lau kisi aur ko
Kyoun batun kisi aur ko
Nahi ki is jahaan mei kisine mohabbat hamare jaisi
Isss zindagi mei
Hai yeh kissey tere mere
Nahi samjhengey yeh duniyawale
Inhe rakhengey hum apney seney me
Bas ek ajeeb as akelapan
Ek ajeeb si khamoshi
Hai meri zindagi mei
Tere siwa hai kuch nahi meri zindagi mei...


mehfil-e-husn sajaao to koi baat banay..
dolat-e-ishq lutaao to koi baat banay..
jaam-o-saghar se gawara nahi peena ham ko..
apni aankhon se pilaao to koi baat banay..


aankhon se peene ke liye dheer ki jarurat hai..
koi laila si mile yanha ,pyari heer ki jarurat hai..
jo saunp de apna vajood bhi kisi ki inayat par..
bhookhe bhediyon ki nahi fakeer ki jarurat hai...

Tuesday, August 25, 2015

Ye dil mera dard ka darbaar hai bazaar nahi hai

Dil ke andheron mein jisko humne chupaya hai,
Woh mera raaz ho tum,
Jiss haseen muskurahat pe yeh dil humne lutaya hai,
Wo muskaan ho tum,

Jo durr rah ke bhi mere dil ke kareeb hai,
har ghadi mere pyar ko dhuaan deta hai,
Soote jagte jiska naam mere hothon pe hai,
Din raat yeh dil jiski ibadat bus kerta hai,

Jaagti raaton mein jo neendein churata hai,
wo har lamha ho tum,
Jo khwabon ko mere haqeeqat banata hai,
Wo ehsaas ho tum,

JIski surat mein nahin dil mein mohabat basti hai,
Mehfil mein saath jiska mujhe tanha kar jata hai,
Puchoon main naam uska toh muskura ke rah jata hai,
Kehta woh naam mera mohabat mere dil ki tamanna hai,

Nadaan yeh dil tamanna uski baar baar karta hai,
Har dil ki Dhadkan ho tum,
Barasti shaamon mein jo pyar ki tarah barasta hai,
Wo barsaat ho tum,

Jisse har pal nigahen dhoondhen woh aks tu hai,
Zamane mein sabse bemisaal shaqs bus tu hai,
Saath tera chutne se maut ka khauff nazar aata hai,
Inn aati jaati saason ki zindagi ki mala bus tu hai,

Ek hum kya tujhe chahe jisse har koi soche vo tu hai,
Pyar ka sagar hai tu,
Jiske naam se roshan hui meri zindagi tu woh cheerag hai,
Meri zindagi ki Roshni hai tu....!!!

--------------------------------------------------------------------------------------

Puchte hai log ki mere kya ho "TUM" ?
Ab kya bataun ki mere liye kya ho tum ........

Iss dil ki gehrai mein chupe raaz ho tum,
Raat ke baad bhor ki pahli kiran ho tum,
Jisse gungunati ho har pal woh geet ho tum,
Mere saazon mein chupe dil ka raag ho tum,

Jiss ehsaas pe dil dhadakta hai woh ehsaas ho tum,
Meri raaton mein jiska ehsaas rahe vo khwab ho tum,
Inn aati jaati saason ko jo jode dil se woh taar ho tum,
Geeli mitti si jo khushboo mahakaye dil ko woh mahak ho tum,

Meri har subah aur dhalti shaam ka ehsaas ho tum,
Dil mein basi hai jo Tasveer E yaar uska aks ho tum,
Meri jeene ki har khushi har wajah meri rooh ho tum,
Ab kya main kahoon mere iss jeevan ka Astitav hi bus ho tum.....!!!

---------------------------------------------------------------------------------------------------

Hum har baat jinhe dil ki batate rahe,
Woh chahte the kya hum se chupate rahe,
Humne bahut koshish ki unhe samajh pane ki,
Woh mere har faisle ko uljate rahe,
Humne pyar mein unke pana chaha sukun,
Woh har kadam pe humko tadpate rahe,
Jagah nahi badli unke intzar ki,
Us jagah ab shaks naye aate rahe,
Us nazar mein kabhi ik jhalak thi hamari ,
Yahi soch kar dil behlate rahe,
Jinke dil mein jagah na thi hamare liye,
Hum unki yadoon ko dil se lagate rahe,
Unhe Bhool pane ki ek nakam koshish mein,
Inhe yaad karke unko Bhulate rahe...!!!

-------------------------------------------------------------------

Aaj fir yaadon ka mausam aa gaya,
dil mein baharon ka sama chaa gaya,
dhundhlati aankhon mein pyar chupaya,
aaj fir dil ke badalon ne shor machaya,
hawa ka jhoka lehrata khushboo yaar ki laaya,
badloon ne chand ko apne aagosh mein chupaya,
chandni ne bikhar ke apni baahon ko failaya,
barsaat ke roop mein utar ke pyar uska har taraf chalak aaya...!!!

----------------------------------------------------------------------------------------------

Lab pe tere iqraar-e-mohabbat, sher Gazal ka lagta hai
Sharm se chehara laal gulaabi, phool kamal ka lagta hai

Dil ko nazar se takraye bhi ek zamana beet gaya
Chot magar hai itni tazaa haadsaa kal ka lagta hai

Bekhud ho kar mast hawayein, aise kab lehraati thi
Ye jaadu to halka halka us aanchal ka lagta hai

Hum samjhe the bhool gaye hain wo chahat ka afsana
Aaj magar phir dard sa dil mein halka halka lagta hai...!!!

--------------------------------------------------------------------------------

Yeh Sansaar hai mere khwabon ka,
jaane kya kya main socha karta hoon,
..

muskurahat se teri rang churaya karta hoon,
aankhon se teri yaad ke badal barsaya karta hoon,
jis adhurepan mein hai mera jeevan usko socha karta hoon,
tere saath ke khayal se khud ko sampuran paya karai hoon,
..

Chalte chalte jiss raah pe tharate hai ab kadam,
uspe ab bhi jaane kyu main ab bhi chal deta hoon,
jaane kahan tak ho yeh safar tere mera main kahan janta hoon,
bus ek tere yakeen pe pyar ki dagar pe fir kadam bada deta hoon,
...
terei chahat mein nikal pade hai jo kadam,
unko jaane kyu nahin main rok pata hoon,
tu meri kismat hai ki nahin yeh jaane bina,
tujhpe qurbaan hone ko majboor main rahta hoon...!!!

----------------------------------------------------------------------------------------------

zindagi kabhi aake milo tum mujhse,
badi shidaat se hum teri raah taka karte hai,

Bhatakti nigahoon ko aasraa de do,
jo aksar mehfil mein tumko hi dhundha karti hai,

kabhi hum se takra ke bhi na katra ke nikal jana tum,
ek tum hi ho jisko hum apni rooh mein dhundha karte hai......!!!

-----------------------------------------------------------------------------------------

Karke shararat koi, tera dil churane ko ji karta hai
Bhul ke dukh dard saare, mera tujhe hasane ko ji karta hai
Us khuda se nahi hai koi waasta mujhe,
Mera to tujhe khuda banane ko ji karta hai
Jhutha hi sahi ek baar ruth ja yaara,
Mera tujhe manaane ko ji karta hai
Tere bina kya zindagi hai meri,
Har saans tere naam karne ko ji karta hai
Tu to bas gaya hai khayalon mein mere,
Tere sapno mein aane ko ji karta hai
Khwabon mein hi dekh lenge tujhe,
Bas ek baar tera deedar paane ko ji karta hai...!!!

---------------------------------------------------------------------------------------

Tujhsi mohabat pahle zindagi ko nazar nahin aayi,
jaise dil ko tune mere pad liya woh nazar ek tune hi payi,
thama jo tune haath yeh mera toh fir fiza mein aaj bahaar aayi,
shayad tere intezaar mein hi itni thokre hai zamane ki humne khayi,

Teri mohabat ne humko chahat ki nayi pehchaan karayi,
hota hai kya manzil ko paana ab yeh paheli humne suljhayi,
saare jahaan ki ab raunak bus ek tyeri chahat mein nazar aayi,
hoti hai jitni mohabat e wafaa woh tere lafzon mein aaj seemat aayi....!!!


Monday, August 24, 2015

AFSOS NAHI HAI UNKE NA AANE KA MALAL JARUR HAI..

************************
Bahut dinoo ki baat hai
Fizaa ko yaad bhi nahee
Yeh baat aaj ki nahee
Bahut dinoo ki baat hai
************************

Shabaab per bahaar thee
Fizaa bhi khush gawaar thee
Na jane kyon machal para
Mein apne ghar se chal para
Kisi ne mujh ko rok kar
Barri adaa se tok kar
Kahaa tha laut aaeyay
Meri qasam na jaaeyay
************************

Per mujhe khabar na thee
Maahaul per nazar na thee
Na jane kyon machal para
Mein apne ghar se chal para
Mein shehar se phir aagaya
Khayal thaa ke paa gaya
Ussay jo mujh se door thee
Magar meri zaroor thee
************************

Aur ek haseen shaam ko
Main chal para salaam ko
Gali ka rang dekh kar
Naee tarang dekh kar
Mujhe bari khushi huwi
Main kuch issi khushi mein thaa
Kisi ne jhaank kar kaha
Paraaey ghar se jaaeyay
Meri qasam na aaeyay
************************

Wohi haseen shaam hai
Bahaar jis ka naam hai
Chalaa hoon ghar ko chor kar
Na jane jaaonga kidhar
Koi nahee jo rok kar
Koi nahee jo tok kar
Kahay ke laut aaeyay
Meri qasam na jaaeyay

----------------------------
Lout aaeyay..
Meri Qasam Na Jaaeyay..
----------------------------


Tumhara naam likh likh ker mitana bhool jati hon,
tumhain jub yaad kerti hon bhulana bhol jati hon.
Bohat see aisii batain hain jo mairay dil main rehti hain,
magar jub tumsay milti hon sunana bhool jati hon.
Tumhare bad ab har pall bari mushkil se kat ta hai,
main akser tumko kwaabon mein batana bhool jati hon.
Main har shaam kehti hon ke tum ko bhool jaon gi,
magar jab subah hoti hai bhulana tumko bhol jati hon


main khud hi muskura leta kisi se kah nahi pata
tumhare samne rahakar faasalay sah nahi pata..
agar tum aam ko imli kaho to main bhi kah deta
tumhare sath ho jata sanch sang rah nahi pata...
isharon pe chale tere to tune hans diya jeebhar
roshni ghar men ajati magar men gah nahi pata..
batado ab hame sach-sach kanha se rob ye paya
tumhare dil men rahkar bhi tumhari tah nahi pata..


Likhna dil ka hisab chupke se,
Mujhko dena jawab chupke se !
Mere khwabon me tum chali aana,
Mai bhi dekhunga khwab chupke se!
Mai zamane se chhup ke dekhunga,
Tum hatana nakab chupke se !
Dil ki duniya me jab bhi aana ho,
Aaeeyega janab chupke se !
Chahta hun ke sara ghar mahake,
Yun khile eek gulab chupke se !
Har warak par hai guftagoo tumse,
Padhna dil ki kitab chupke se !!


TERE SWAR KO MAINE MANA FIR SWEEKAR KIYA HAI
MUJHKO APNE GALE LAGAKAR TUMNE PYAR KIYA HAI.
HAULE-HAULE MAINE TERA GHUNGHAT SARKAYA HAI.
SIMAT GAYI BANHO MEN MERI TERI KOMAL KAYA HAI.
DEKH ISHARON KI MAHFIL MEN JEEVAN WAR DIYA HAI
MUJHKO APNE GALE LAGAKAR TUMNE PYAR KIYA HAI..
TU MERI MUMTAJ MAHAL HAI MAN BHEETAR UJYAARA
TUJH SE ROSHAN LAL KILA HAI SARE JAG SE PYAARA..
MAIN FAKKAD MAN MAUJI TERA DIL KO HAR DIYA HAI..
MUJHKO APNE GALE LAGAKAR TUMNE PYAR KIYA HAI..
TUM CHAHO TO IS DUNIYA MEN FIR BAHAAR AAYEGI
KOYAL TERE MAN BAGON MEN GEET MADHUR GAYEGI...
TERI HAAN MEN MERI HAAN HAI KAB INKAR KIYA HAI
MUJHKO APNE GALE LAGAKAR TUMNE PYAR KIYA HAI...


Mohabbat Theher Jaati Hai...
Hum aksar yeh samajhtay hain
jisay hum piyaar kartay hain
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
mohabbat da'imi such hai
mohabbat theher jaati hai !!!
hamari baat kay andar
mohabbat baith jaati hai
hamari zaat kay andar
magar yeh kam nahin hoti
kisi bhi dukh ki soorat mein
kabhi koi zaroorat mein
kabhi anjaan se gham mein
kabhi lehjay ki thandak mein
udaasi ki zaroorat mein
kabhi baarish ki soorat mein
hamari aankh kay andar
kabhi aab-e-rawan ban kar
kabhi qatray ki soorat mein
bazahir aisa lagta hai
usay hum bhool baithay hain
magar aisa nahin hota
magar aisa nahin hota....
yeh hargiz kam nahin hoti...
MOHABBAT THeheR JAATI HAI...!!!


youn tau taay ho bi chuka tark-e-taaloq kerna
kitna mushkil hai magar khud ossay rukhsat kerna
ab kisi sehar mien bi khush nahi rehnay deta
wo teray sehhar se mera kabi hijrat kerna
abhi paya bi nahi tha ke ossay khoo bi deya
apni adat hai her ek kaam mien ujlat kerna
sab ki keh laytay hien hum samnay os ke laykin
sakhat mushkil hai biyan dil ki kahayat kerna
be wafaee se bhar ke ajab baat thi kiya
kisi anhoni pe ab kis liay hearat kerna


main tujhe bhatkne se bachata raha hoon..
teri khushi ke nit geet sunaata raha hoon..
tumne bhi ,meri haan men haan mila di hai,
tabhi se is rastey pe aata-jaata raha hoon..


nafrat jyada din ki mehman nahi hoti hai..
sunsan men yah rahti sir thamke roti hai..
yah baat take uski ,jo chahta hai hardam,
ye pap ki gathri ko kab punya se dhoti hai..

Wednesday, August 19, 2015

HAIRAT NAHI HAIRAN HOON

jamane se kuchh chhupana nahi hai..
tumhe ab aur khud aajmana nahi hai..
jalne de jugnuo ko aur aaj ki rat men
hanth mat laga inhe bujhana nahi hai..
nafrat ko pada rahne de aise hi bejan
ye khota sikka hai ise chalana nahi hai...
teri ankho ko shayar maykhana kahte
doob jate hen jee bhar utrana nahi hai..
ek chumbak hai tu mere arman ka lekin
dil bharta hai kab sabse batana nahi hai..
tere husn ne hame bhi insaniyat bakhshi
isko jeevit rakhoonga bhulana nahi hai..
ajnabi hoon aaj bhi is bheed men samjho
ek bar jo gaye , fir yanha aana nahi hai...


ussay kehna...!
sard ratoon mein thi-thar-tay
tanha udass chand k sath
uss ka inteezar kia hay
mein nay
usaay kehna...!
amavus ki ratoon mein
uss k leea duaaen mangi hain
mein nay
ussay kehna...!
garmiyoon ki shamoon mein aksar
thandi thandi hawaoon say
uss ka pata poocha hay
mein nay
ussay kehna....!
sheray dil vay-ran sa hoo gaya hay
teray baghar
zindagi azab hoo gaee hay
teray baghar
magr....!
kuch rastay tanha nahi kat-tay
ussaay kehna....!
buhat c manzilain tairee rafaqt mangti hain
usaay kehna....!
yeh ajeeb meray gham-o alam
yeh naseeb sungay bayan par
yeh warq warq pat garay qalam
yeh kara hisar naya nahi..
mera inteezar qadeem hay
mera uss say pyar qadeem hay.....


aisaa lagataa hai zindagi tum ho
ajanabi jaise ajanabi tum ho
ab koi aarazu nahin baaki
justaju meri aaKhiri tum ho
main zameen par ghana aNdhera huN
aasamaanon ki chaaNdani tum ho
doston se wafaa ki umeedein
kis zamaane ke aadami tum ho


unse kah do
main utawla
ho utha hoon
jaise bahut lambe
antral ke baad
milne ka awasar
fir se bina mange
mil gaya ho..

unse kah do
tum bhi to
utne hi utawle hoge
hamse milne ke liye...
do vicharon ka
adbhud milan
aaj sambhaw hone
ja raha hai..
ek lambe antral
ke bad..
is jameen par..

jiske sakshi honge
ham aur tum
ye na dikhne wali
hawayen
udte huye panchhi
mook aasman
sahansheel prathwi
chamakta chand
jalta hua suraj
aur jo bhi maujud
hai yanha....

achraj nahi nai
is sab par
jo hone ja raha hai
ye purv niyojit nahi
hamare-tumhare
dwara aayojit
ek aisa aayojan hai
jiska ahsas
sirf ham aur tum
dono hi kar sakte hen...


Muddat Se Yehi Jaan-e-Adaa Soch Raha Hon,
Tum Kaisay Huay Mujh Se Khafa Soch Raha Hon.
Shikwa Nahi Tum Se Na Khud Se Gila Hai,
Ulfat Mein Hui Kis Se Khata Soch Raha Hon.
Murr K Nahi Dekha Tha Alag Baat Hai Lekin,
Jaatay Huay Aai Thi Jo Sadaa Soch Raha Hon.
Ab Teray Siwa Rab Se Duaon Mein Kya Maangun,
Agar Haath Uthay Hain To Dua Soch Raha Hon.
Jis ne Bhi Kabhi Duniya Mein Sach Bol Dia Hai,
Kyun Log Huay us Se Khafa, Soch Raha Hon.


Monday, August 17, 2015

MILJAYE MUJHKO PYAR TERA...

Meri Khamosh Mohabbat Ka......................
Itna To Sila Diya Hota..............................
Kabhi Ek Nazar Chahat Se...................
Dekh Hee Liya Hota.............................
....................................................................


Hum Bhi Tujhe Ishq-0-Mohabbat.................................
Se Aashna Karte.........................................
Bas Ek Baar Apne Dil Mein............................
Aane To Diya Hota............................
....................................................................


Kiya Jata Tumhara Bas..............................
Hamein He Dil Se Khushi Milti.............................
Apni Zindagi Ki Kitaab Mein.............................
Naam Hamara Bhi Likh Liya Hota........................
....................................................................


Dekh Lete Zara Ghor Se Shayad....................................
Tumhare Haath Ki Lakiron Mein.........................
Hamari Kismat Ka Bhi Diya Hota.......................
Meri Khamosh Mohabbat Ka.................................
Itna To Sila Diya Hota..............


jab khud ko mera dost batata hai koi,jaise mujhe par ehsaan jatata hai koi,jaan kar ke mujhe andhere se darr lagta hai,shaam se pehle charag bhujata hai koi....
mujhe bura rakib ko achcha batata hai koi,mere wafa ka badhla aise chukata hai koi,khud ke aiboh par nahi rehte hai usske negah,par mujhe kar waqt aaina dekhata hai koi....
waqt toh tikkar kahi par nahi rukta,kyu achcheh waqt ka dilasa nahi dilata hai koi,waqt ke shakh se lamho ko chura lete hu,jab mere mazih ke yaad delata hai koi.....


IS DUNYA NE ROSWA KYA HUM KO TU HAMRA SAHARA SIRIF TU THA
JAB TU NE ZAMANE KE RIWAYAT KO QAIM KERTE HOVE HUM SE BEWAFAYE KI
TU HUM NE KHUD KO BOHAT AKELA PAYA IS SARE JAHAN MAIN........
MERE DIL NE IN HATHOON KI LAKEROON SE SAWAL KYA AKHER ZAMANE KA HER DARD,HER ZAKHAM,HER RUSWAYE [M...U...N...E...E...B...]KE IN HATHOON KE LAKEROON MAIN KYOU LIKHE HAI TU IN LAKEROON NE JAWAB DEYA JAB GUM HE TUMHARA MERAS HAI TU YE HATH KYA KARAIN..JO TAQDEAR IN HATHOON MAIN LIKH DEGAYE HAI WOH AB MIT NAHI SAKTI....


mein sahil pe likhi hui ebaarat nahein
jo lehroon sey mit jaati hai
mein baarish ki baarasti boond nahein
jo baras kar tham jati hai
mein khuaab nahein
jisey dekhaa aur bhula diya jaye
mein shama nahein
jisey phoonka aur bhuja diya jaye
mein hawa ka jhonka nahein
jo aya aur guzar gaya
mein chaand bhi nahein
jo raat k baad dhal jaata hai
mein to woh ehsaas hoon jo
tujh mein lahoo bun kar gardish karay
mein to woh rang hoon jo
teray dil par
chahray aur kabhi naa utray
mein to woh parwana hoon jo
jalta rahay aur fana naa hoga
khuaab, ibaaarat, hawak ki tarhaan
chaand, boond, shama ki tarhaan
meray mitnay ka sawaal hi nahein
KIYON K MEIN TO MOHABBAT HOON
AUR MOHABBAT KO KOI ZAWAAL NAHEIN


Tum Mujhe Bhool Bhi Jaao To Yeh Haq Hai Tumko.............
Meri Baat Aur Hai Maine To Mohabbat Ki Hai...............

Mere Dil Ki Mere Jazbaat Ki Keemat Kya Hai.................
Uljhe Uljhe Se Khayalaat Ki Keemat Kya Hai.......
Maine Kyon Pyar Kiya Tumse, Kyon Pyar Kiya.....
In Pareshan Savalat Ki Keemat Kya Hai.........
Tum Jo Yeh Bhi Na Bataao To Yeh Haq Hai Tumko.........
Meri Baat Aur Hain, ......................................

Tumko Duniya Ke Gham-O-Dard Se Fursat Na Sahi.........
Sabse Ulfat Sahi, Mujhse Hi Mohabbat Na Sahi...........
Main Tumhara Hoon, Yahi Mere Liye Kya Kam Hai........
Tum Mere Ho Ke Raho,Yeh Meri Kismat Na Sahi......
Aur Bhi Dil Ko Jalaao To Yeh Haq Hai Tumko...............
Meri Baat Aur Hain, ..........


Banaa gulaab to kaantain chuba gya ik shakhs......
howa chiraag to ghar hi jala gya ik shakhs............

..............................................................

tamaam rang maire aur saare Khuwaab maire..........
fasaanaa keh k fasaanaa bana gya ik shakhs..........

...............................................................

main kis hawaa main uroon kis fiza main lehraoon.....
dukhoon ka jaal har-suu bicha gya ik shakhs..........

..........................................................

palat sakoon main na aage bar sakoon jis par...........
mujhe ye kaun se raaste laga gya ik shakhs...............

..................................................................

mohabbat bhi ajeeb us ki nafrat bhi kamaal........
maire tarha ka he mujh main samaa gya ik shakhs.........
.........................................................

wo mehtaab tha marham-baa-dast aaya tha.............
magar kuch aur siwa dil dukhaa gya ik shakhs........

.............................................................

khula ye raaz ke Aaina-Khaanaa hai dunya...................
aur is main mujh ko tamaasha bana gya ik shakhs...


Aaina Hoon Main Mere Saamne Aakar Dekho...........
Khud Nazar Aaogye Jo Aankh Mila Ker Dekho...........
<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<<
Mere Gham Mai Mari Takdeer Nazar Aati Hai.............
Dugmagaaoge Mera Dard Utha Ker Dekho.............
>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>>
Youn Tu Aasaan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar.......
Kitna Mushquil Hai Meri Raaha Se Jaaker Dekho...........
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Bazam Ka Meri Charagaan Hai Nazar Ka Dhoka....................
Kin Andheroon Mai Bhatakta Hoon Main Aaker Dekho.........
...............................................................
Dil Tumhara Hai Main Ye Jaan Bhi Dedoon Tum Per........
Bas Mera Saath Zara Dil Se Nibha Ker Dekho..........
!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Mout Barhaq Hai Mager Tum Se Waada Hai Mera..............
Laut Aaounga Tum Ikbaar Bula Ker Dekho...


Chaahat ka ek haseen sila de gaya mujhe,
muhabbat mein dil lagane ki sazza de gaya mujhe.
Gali gali phirte hain, dhoondhte hain maikada,
bewafa jaane ye kiska pata de gaya mujhe...



Wednesday, August 12, 2015

TUJHSE TO KOI GILA NAHI HAI,

वक़्त तेरी ये अदा मैं आज तक समझा नहीं
मेरी दुनिया क्यूँ बदल दी ,मुझको क्यूँ बदला नहीं

इस नतीजे पर पहुँचने में बड़ी मुद्दत लगी
तुझसे अछे तो बहुत हैं ,पर कोई तुझ सा नहीं

दूर जाती एक परछाई ,हवा में हिलता हाथ
जुदाई का वो मंज़र मैं अभी तक भुला नहीं

फिर मुझे क्यूँ लग रहा है ,ये मंजिल दूर है
इस सफ़र में सच यही है ,मैं कहीं ठहरा नहीं

एक नए अंदाज़ से होगी बसर अब ज़िन्दगी
मेरे हिस्से की ज़मीन पर आस्मां -साया नहीं


hum jo bikhre to roshni ki tarah
,aur simte to teergi ki tarah

meri ankhen jo unse chaar hui,
wo nazar aaye ajnabi ki tarah

ho gaye gair -e -shaista,
jo abhi kal tak the aadmi ki tarah

unki nazron mein hum bure hi sahi
wo bhale hain to pyaar ki hi tarah.


शाम इ फ़िराक अब न पूछ ,आयी और आ के टल गयी
दिल था की फिर बेहाल गया ,जान थी की फिर संभल गयी

बज़्म-इ -ख्याल में तेरे हुस्न की शम्मा जल गयी
दर्द का चाँद बुझ गया ,हिज्र की रात ढल गयी
...
जब तुझे याद कर लिया ,सुबह महक महक गयी
जब तेरा ग़म जगा लिया ,रात मचल मचल गयी

दिल से तो हर मुआमला कर के चले थे साफ़ हम
कहने में उनके सामने ,बात बदल बदल गयी (jaari)

आखिरी शब् के हमसफ़र फैज़ न जाने क्या हुए
रह गयी किस जगह सबा ,सुबह किधर निकल गयी
शाम इ फ़िराक...!


आँखों से लगा लेने के काबिल न समझना
मैं कांच का टुकड़ा हूँ मुझे दिल न समझना

राहों में बिखर जाऊँगा पलकों से छलक कर
मैं खाब इ सफ़र हूँ मुझे मंजिल l न समझना

पल भर के लिए भी मैं अगर तुझको भुला दूं
उस din को मेरी उम्र में शामिल नहीं करना

लहरों का भरोसा नहीं किस वक़्त बदल जाये
जिस नाव में बैठो उसे साहिल न समझना


हो के पल भर जो किसी फूल से खुशबू निकले
तो समझ लो के वो पहन के फूल के गेसूं निकले

आप बीमार को आये क्यूँ आये तसल्ली देने
कोई अपना भी है ये देखने आंसू निकले


ये चाँद जो रातों को मेरे साथ जला है ,
शायद मेरी तन्हाई का गम बाँट रहा है

डूबी है मेरी अंगुलियाँ अपने ही लहू में ,
ये कांच के टुकड़ों को उठाने की सजा है

आँखों में कभी फूलों केखिलने का समां था ,
अब कानों में टूटे हुए पत्तों की सदा है

ये बात सही कुछ उसे एहसास नहीं है
,वो भी मेरे ख्वाबों की तरह टूट गया है
ये चाँद ...


आते आते मेरा नाम सा रह गया
उसके होंठों पे कुछ काँपता रह गया

वो मेरे सामने ही रह गया और मैं
रस्ते की तरह देखते ही रह गया

झूठ बोलने वाले कहीं से कहीं बढ़ गए
और मैं था की सच बोलता रह गया

आंधियों के इरादे तो अछे न थे
ये दिया कैसे जलता रह गया .


आँखों को इंतज़ार का देकर हुनर चला गया
चाह था एक शख्स को ,जाने किधर चला गया

दिन की वोह महफिलें गयीं ,रातों के रतजगे गए
कोई समेत कर मेरे शामो सहर चला गया

झोंका है एक बहार का रंगे ख्याल यार भी
हर सू बिखर बिखर गयी ,खुशबू जिधर चला गया

उसके ही दम से दिल में आज धुप भी चांदनी भी है
देके वो अपनी याद के शम्स o कमर चला गया

कूंचा कूंचा दर बदर कबसे भटक रहा है दिल
हमको भुला के राह वो अपनी डगर चला गया ...


Yun toh saaqi har tarah ki tere maikhaane mein hai,
Or woh bhi thodi si jo in aankhon ke paimaane mein hai,
Sab samajhtaa hun teri ishwaakeri aye saaki,
Kaam karti hai nazar naam hai paimaane ka...........


ले उड़ा फिर कोई ख्याल हमें ,
साकिया साकिया संभल हमिएँ.

पी रहे हैं की एक आदत है,
वर्ना इतना नहीं मलाल हमें

साकिया साकिया संभाल हमें ...


कभी बन संवर के जो आ गए
तो बहारे हुस्न दिखा गए
मेरे दिल पे दाग लगा गए
ये नया शगूफा खिला गए

...कोई क्यूँ किसी का लुभाए दिल
कोई क्या किसी से लगाये दिल
वो जो बेचते थे दवाए दिल
वो दुकान अपनी बढा गए

मेरे पास आते थे दम बदम
वो जुदा न होते थे एकदम
ये दिखाया चर्ख ने क्या सितम
की मुझी से से आँख चुरा गए

यही शौक था के हमें दम बदम
के बहार देखेंगे अब के हम
यूँ ही छूटे कैदे कपास से हम
तो सुना के खिज़ा के दिन आ गए
कभी बन संवर के...


वो ख्वाब था बिखर गया,ख्याल था मिला नहीं
मगर ये दिल को क्या हुआ ,ये क्यूँ बुझा पता नहीं

हर एक दिन ,उदास दिन ,तमाम शब् उदासियाँ
किसी से क्या बिछड़ गए के जैसे बचा नहीं

वो साथ था तो मंजिलें चराग थी
कदम कदम सफ़र में अब ,कोई भी लब दुआ नहीं
है शोर सा हर तरफ,की सरहदों की जंग में
ज़मीन पे आदमी नहीं,फलक पे क्या खुदा नहीं
वो ख्वाब था...