Toot jaata hoon jab yaad karta hoon
bikhar jaata hoon jab bhi sochta hoon
...
zarra zarra mera jal ke shola ho jaata hai
rom rom mein tees si utthne lagti hai
dil bechaara chup chaap dekhta rehta hai
aur aankhein baadal ban jaati hain
...
mehsoos karta hoon kuchh armaanon ki
zindaa laashon ko jalaa dena
suntaa hoon unki cheekhon ko kaan bandd karke
bedard se dard ki bedard hasi
...
mazzakk udaane lagti hai
utthhaati hai ungali meri laachaari ki taraf
aur dhoondh kar sabse zakhmi rog
use dabaa dabaa kar poochhti hai
..
yaheen hai na dard...??? aur ye lab bhi bewafaa
apni tabassum ke aagosh mein khoye rehte hain
sard hawaa chheel kar badan ki parat ko
jaane kya talaash karti hai..
...
khurach khurach kar ek ek tamanna ko
uski har parat ko nikaal kar
usmein chhupe dard ko kheench kar masalti hai
teri yaad jab bhi aati hai...
..
bebass sa mehsoos kartaa hoon
bebass sa mehsoos kartaa hoon
teri yaad jab bhi aati hai...!!!
----------------------------------------------
Woh Suhaani shaam,
Aur suraj ki woh doobthi kiran,
Mere chehre ko phuslaathi hui,
Door ja rahi thi...
.
Saagar ki wo komal lehren,
Mere ungliyon thale khilwaad karti hui,
Mere is ghayal dil ko,
Thandak pahuncha rahi thi...
..
Mai tha akela,
Us Saagar ke kinaare par,
Nazar ki duuri tak koi dooja na tha...
..
Phir ek ehsaas uta,
Ki mere haath ko kisi ne thama,
Uski woh pankudi jaise naram ungliyan,
Mujhe taph tapha rahi thi....
..
Ek bharosa tha uske us chehre par,
Pyaar tha uski un aankhon mey,
Hoton par the kuch unkahi baatein,
Aur dil mey the kuch tez dhadkan...
..
Mausam suhaana tha,
Shaam mastani thi,
Woh mere saath thi,
Aur main uske paas tha...
..
Phir huyi kuch pyaar ki baatein,
Phir aaye ek dooje ke baahon main,
Lag raha tha samay tham jaaye,
Ya phir is pal mey meri jaan chali jaaye...
..
Wo ehsaas main khona nahi chahta,
Ki mere zindagi mey bhi koi hai,
Woh pal main gawana nahi chahta,
Ki mere baahon mai bhi koi hai...
..
Phir achanak aankhon par roshni ghiri,
Aur mere meete pal ek kwaab reh gaye,
Main samjha ki maine sapna dekha,
Aur ab main hoon sacchai main...
..
Aaj bhi hoon main akela,
Chalta hoon khaali haath,
Ruka hoon main us pal ke liye,
Jo main kabhi na khona chahta tha...
.
Kya aayega wo pal?
Kya milega mujhe mera sapna?
Ya phir sirf bachengi woh yaadein,
Wo sapna aur wo chahat,
Chal raha hoon main ye sochthe,
Jaane kis dagar...!!!
--------------------------------------------------
Ruthe raho huzur zara..
kuch manane mein maza aye..
ho jaye sitam kuch der aur
ki Dil lagane mein maza aye..
..
Nigah phere raho isi adaa se
nazar milane mein maza aye
behne do har gila band honto se
ki mitane mein maza aye..
...
theharne do ruthi laton ko rukhpe
hawa ko udaane mein maza aye
thaame raho aanchal yunhi
ki sarkaane mein maza aye..
...
bane raho nasamjh kabhi kabhi
ki samjhaane mein maza aye
shart koi aisi rakho
ki maan jane mein maza aye..
...
khokar is tarah milo
ki paane mein maza aaye
saans ban ke seene mein raho
ki jee jane mein maza aaye...!!!
-----------------------------------------------
ab main wo likhu jo khuda ko rula de...
us upar wale ko bhi jina sikhade...
jab mein is mehfil mein aaya to logon ne pucha khuda se dushmani kyon?
aaj iska jawaab de deta hun....
..
apne mohobbat ko khud humse alwida kehalwaya hai...
kuch is tarah khuda ne hume raham farmaya hai...
phir dua mangi ki jindagi ko phir pyaar se roshan karde...
hame sadko ka diya banakar sari raat jalaaya hai...
..
humne kaha ek baar khushiya hume udhar de de...
to humne apne aasuon se agle pal ko bitaya hai...
jab hosh aaya ki aasuon ka bhi hisaab dena hoga...
to use humne khoon ke bundon se chukaya hai....
..
kya zikr kare hum khuda ke rahamon karam ka...
khamoshi se jisne aaj tak humpe julm hi dhaya hai...
log kehte hai wo der karta hai meherbani karne mein...
ab kya kho de jab pane ki chah mein khud ko lutaya hai...
..
ab to shayad mout bhi dega to udhari badha lega...
wakai dena baki hai shayad isliye sason ko bachaya hai....
ab kehte hai log ki intjaar karle zara to jannat milega...
par ye dil ko to maza jyada is dard se aaya hai...
...
aadat si ho gayi hai ab hume yun hi gujar janeki....
aarzoo na rahi nigahon mein kabhi jannat nazar aane ki...
mehfilon ne hume wah wah keh kar rulaya hai...
har lafz ko wo sher kehte hai jab se ye dard paya hai...!!!
----------------------------------------------------------------------------------
khamosh raaton me kuch yaadon ke sahare.
dhadkano pe pehra lagaye baithe hai..
aaj khud hi se hum kuch es kadar.
apne ansuon ko chupaye baithe hai...
..
jo aksar kaha karte the hume apni jaan,
aaj unke dar par sar jhukaye baithe hai !
kuch to saja de wo hame hamari wafaaon ka,
wo aaj humse moonh phere huye baithe hai...
...
yun kab talak intejaar kare hum tanha hi mauth ka,
jab unke sath jine marne ki kasme khaye baithe hai !
ab wo kehte hai hum unhe bhool jaye,
par kaise jab har pal ko unhi ki yado se sajaye baithe hai !!
...
aaj unke karan tanha hai par gum nahi jara bhi,
aakhir wo to dur jakar muskuraye baithe hai !
aur kya jikr kare is dil ke haal ko,
jinhe apna kaha unhi se jakhm khaye baithe hai !!

No comments:
Post a Comment