Tuesday, May 12, 2015

Meri khamoshi ko bewafai batakar usne khud pe gumaan kar lia

aasma k us paar kya hai,
yeh jaan pana hai mushkil,...
..
mausam jo pal bhar me badal jata hai..,
is badlav ko jhel pana hai mushkil,......
...
uthtii hui lehre kinaro pe aake takra jati hai,..
lehro k in isharo ko samajh pana hai mushkil,..
..
majhdhar me phas jati hai jo jeevan ki kashti,...
use kinare tak le aa pana hai mushkil,...
..
phulo k rangon se sajne lagti hai jab zindagi,..
tab aate huwe tufano ko rok pana hai mushkil,...
..
intzaar me takti nazar chup si reh jaye,...
us khamoshi ko tod paana hai mushkil,,
,,
tod ke dil ko jab koi chala jata hai,..
bikhare tukdo ko samet pana hai mushkil,...
...
bichad jaye jab koi apna sa,...
yaadon ko phir bhula pana hai mushkil....
...
khokar sabkuch jo jeeye ja raha ho,..
uske dard ko bant lena hai mushkil....
...
aankho me hazaro sawal liye hai jo,
unka jawab de pana hai mushkil....
..
kisike dil tak baat ja pahuche,
aisi boli dhund paana hai mushkil..
...
marna chaha jab ub ke zindagi se,..
takdeer ko modna tab hogaya mushkil...!!!

-------------------------------------------------------------

hasaati hai zindagi,rulati hai zindagi..phir bhi dilko lubhati hai zindagi,...
jeevan k shoro gul mein kho gayi hai hasti,phir bhi dilko behlati hai zindgi...
..
kuchal k saare sapne sunehre,nayi ummide jagaati hai zindagi,..
har rishte ko bhula chuke hai,naye rishton ka saamna karati hai zindgi....
..
dhusman bane hai sab yaha,par dosti ka taraana gaati hai zindagi,..
har kosish nakamayab rahi,phir bhi ladne ka jhazba dilati hai zindagi,...
....
pyar me sabkuch khokar bhi,is khel ko khelne me uksati hai zindagi,..
ashko se bheeg chuka hai daaman,phir bhi aas ka diya jalaati hai zindagi,...
...
veerani chayee hai har taraf,k baharo ka sandesha deti hai zindagi,
tadap uthe hai armaan saare,naye armaano ko umadne deti hai zindagi,..
...
takdeer pe ab bharosa na raha,aur aane wale kal ki soch dilati hai zindagi,
hasaati hai zindagi..rulati hai zindagi..phir bhi dilko lubhati hai zindagi...!!!

------------------------------------------------------------------------------------------------------------

tabse tasveer ko teri seene se laga rakhi hai,
meri haalat dekh teri tasveer bhi ab ro di hai.
humne tasveer se pucha, dard to hum seh rahe hai?
tasveer bol uthi,hum hi hai jo aapko unki yaad dila rahe hai...
..
yeh sunte hi aankhen bol padi hai,
hum to tasveer dekh bhi nahi pa rahe hai...
kyunki mehboob ki jhalak to inke dil me pa rahe hai....
....
dil bhi ye baaten sunke keh utha hai,
humne unki yaadon ko yahan qaid kar rakha hai,
yeh hamari galti hai,jo humne unko samet rakha hai...
....
tabhi dhadkane bol uthi,
dil to masum hai,hum hai gunehgar jo saanson ko jodte ja rahe hai,...
...
saanson ko ab chup raha na gaya,..
dhadkan ki kya galti.wo toh hum hai jo ummido ko liye baithe hai,
..
tabhi man keh utha..ummido ko humne yahan palne diya,
hum hai jisne inko itna dard diya...
...
yeh sunke ruh bechain ho uthi..
.pyar ka ehsaas yaha tak hai samaya..
shayad humne hi is dastaane ishq ko aage hai badhaya...
...
tabhi aasman se aawaz sunayi di...galti hamari soch ki hai jo
humne insan banaya,usko pyar karna shikhaya...
par yeh nahi jan paye ki
pyar k naam pe humne usko dard se milwaya...!!!

--------------------------------------------------------------------------------------

Aarzoo yeh nahin ki tujhko hum pa jaye,
hai bus yeh hi tamanna tere ishq mein mar jaye,...
...
Jo tere labzoon mein naam mera aajaye,
meri bhi mohabat mein koi aukat ban jaye,..
...
Jo tu dil mein basa le to kya baat ho jaye,
Yeh dil hamara tere naaz uthata jaye,..
..
Dekh le tu jo ek baar muskara kar gazab ho jaye,
humko hamari surat se bhi pyar ho jaye,..
...
Hai jahan mein bahut jo aap pe jaan luta jaye,
par kuch pyas is dil ki bhi to bhoojh jaye,..
..
mehfil mein ruswa hone ke liye hum bhi taiyaar ho jaye,
tu aake hume gale se apne laga jaye....,
..
hum apni har haqiqat tujhko suna jaye,..
tu jo hamara aaina ban jaye,..
...
saans jab tak hamari ye ruk na jaye,
hai aarzoo bus itni teri bahon mein yeh zindagi khatam ho jaye...!!!

----------------------------------------------------------------------------------------------

Tum lakh rutho humse yeh dil tumko mana lega,
aapke dil mein pyar hamara bus jayega,..
..
tum na chaho phir bhi dil tumhi ko chahega,
dekhna ek din tu mera khuda ban hi jayega,.
.
tu jo ek baar dekh le palat ke tera kya jayega,
sir jhuka denge hum tu aansoon apne rok na payega,.
...
tu lakh khila le chahe kaliyan daman mein to kya ho jayega,..
meri khushboo un kaliyon se bhi na tu bhool payega,...
..
tu na pakde haath mera to kya saath choot jayega,
tu dur hoke bhi mujhse dur kahin ja nahin payega...!!!

------------------------------------------------------------------------------------

Na jaane kya ada us ki nazron mein hain,
aankhon se baat karna usse aata kyu hain,..
.
Na jaane kya baat uski baaton mein hai,
lobon mein raaz chupana usse aata kyu hain,..
..
Na jaane kya baat uski muskaan mein hai,
hum ko jalake use hasna aata kyu hain,..
..
Na jaane kya mazaa uske intezaar mein hai,
Dil ko uski raah takhna acha lagta kyu hain,.
..
Na jaane kya baat uski chahat mein hain,
hadd se guzarna mohabat mein aakhir usse aata kyu hain...!!!

-----------------------------------------------------------------------------------------

Kuch is tarah unko chahne ab hum chale,
Jism se rooh mein unko utarne chale,..
..
Unke daman mein jitne thay kaate woh chunne hum chale,
Maathe se unke ab sab shikan mitane hum chale,..
..
Raat jo dhali toh unko yaad karne chale,
Neend apni khoke unko sulane chale,...
...
aaj taqdeer se apni ladne hum chale,
kismat nahin jo usse kismat banane chale,..
..
.Ab to har haq unke naam kar chale,
Unke har ilzaam pe bhi ab sir jhukaye hum chale...!!!

No comments:

Post a Comment