Friday, May 29, 2015

par pyar ka hai yahi dastoor

raat ke andhre main sakoon ki talash main,
chala ja raha tha main thake kadmon se..,
bandha hua tha main kisi ajeeb si uljhan main,
na apni khabar thi na raah pe nazar thi,
...
aksmaat hi main kisi se takra gaya,
kisi ka dard aah banke mere kano tak aa gaya,
maine jhuk kar dekha ek pathar tadap raha tha,
meri thokar se uska koi armaan sehak raha tha,
maine poocha tum raah main kiyon ho pade,
to usne kuch yun apna dard keh sunaya..
..,
main bhi kabhi khushi tha kisi ke dil ki,
logo ko batata tha doori unki manzil ki,
zamane wale mujhe sang-e-meel kehte thay,
mere seene pey likhe shabd unko hamesha yaad rehte the,
mere bhi dil main kabhi lete the armaan karwate,
tu mat darna dekh ke mere chhehre ki silwate,
...
mere khwabon main bhi tha kabhi kisi ka basera,
mera sahara lekar chadh rahi thi ek lata phoolon ki,
har dam rehti thi wo lipat kar mujhse,
wo mere liye main uske liye tha jee raha,
...
ek din achanak hamare beech ek paid ugg aaya,
waqt ke saath wo fula fala or badra hua,
mujhe apney wajood pe bhut gussa aaya,
maine khuda se pocha tune mujhe aisa kiyon nahi banaya.. ,
kaash main bhi paid ki tarha falta fulta
uss lata ko jana thaa shayad bahut upper,
usne mera sahara chhod thaam liya paid ka daaman,
uski bewfai se bhuj gaya mera pyar bhara man,..
aaj main ban gaya hoon raste ka pathar,
har koi aate jate marta hai mujhay thokar,
...
sunke uski daastan meri aankh bhar aayi,
uski halat maine apni halat se milti paayi,
maine usko uttha kar apne seene se laga liya,
uske aansuon se mera girebaan geela ho gaya,
mera surakh badan ek dam se neela ho gaya,..
...
maine socha ki mujhse acha to ye pathar hai,
is par kisi ko taras to aa gaya,
mujh par kisi ko taras kiyon nahi aata,
KIYON KOI MUJHAY SEENE SE NAHI LAGATA,
kaash koi mujhe bhi seene se lagata,
aankhon main jama ashko ka samander to pighal jata,
kaash koi mujhe bhi thokar lagata,
mere dard ko mehsoos karta mujhe seene se lagata....
mujhe seene se lagata...!!!

--------------------------------------------------------------------------

Mohabbat ka gumaan hota bahut hai
Ke ab yeh lafz bhi ruswaa bahut hai

Udaasi ka sabab mein kya bataun
Galli koochon mein sanaatta bahut hai

Tujhe maaloom to hoga meri jaan
Tujhe maine chaha bahut hai

Na milne ki kasam kha ke bhi maine
Tujhe har raah mein dhoonda bahut hai

Ye aankhein aur kya kisi ko dekhe
In aankhon ne kisi ko dekha bahut hai

Na jaane kyu bacha rakhe hai aansu
Abhi shayad mujhe rona bahut hai..

----------------------------------------------------------

~**~ Aik Deewana Ye Kehtey Hue Hansta Jata ~**~

~**~ Kash Manzil Se Bhi Agay Koi Rasta Jata ~**~


~**~ Aye Mere Abar Gareeza(n) Meri Aankho(n) Ki Tarah ~**~

~**~ Ger Barasna Hi Tujhay Tha To Barasta Jata v


~**~ Aaj Tak Yaad Hai , Izhar-E-Mohabat Ka Woh Pal ~**~

~**~ K Meri Baat Ki Luknat Pe Wo Hansta Jata ~**~


~**~ Itne Mehdood Karam To Taghaful Behtar ~**~

~**~ Ger Tarasna Hi Mujhay Tha To Tarasta Jata ~**~

ishq sine main dafan ho to saccha lagta hai

Pehle main chain se soya karta tha
ab raaton ko karvaten badalne laga hoon main
...
pehle main bahut baaten kya karta tha
ab chup chup rehne laga hoon main..
...
pehle mehfilon mein raha karta tha
ab akele rehne laga hoon main..
..
shayri aur kavita ka shoq tha mujhe
par ab khud shayri likhne laga hoon main..
...
us se mulaqaat hone ke baad jaane kyon..
usi ke baar mein hi sochne laga hoon main..
..
zindagi ke safar mein akele chalte chalte achanak
unke saath chalne ki khwahish karne laga hoon main..
..
jo lamhe humne saath bitaaye thay
wo lamhe ab roz yaad karne laga hoon main..
..
sab log mere khoye khoye rehne ki wajah puchte hai
par ab yehi sawaal khud se puchne laga hooon main..
.
bhale hi wo mujhse door hai par
har ghadi unki aahat mehsus karne laga hoon main..
..
pehle wo mujhe begaane lagte thay
par ab unme apnapan mehsus karne laga hoon main..
..
pehle main pyaar ki baaten nahi samajhta tha
par ab wo saari baaten samjhne laga hoon main...
..
main apni khud ki haalat pe hiraan hoon
kyon aisa hone laga hoon main..

mujhe aisa lagne laga hai yaaron
shayad unse pyaar karne laga hoon main...!!!

---------------------------------------------------------------------------

Nikhal pada mein apne ghar se,
Chalta hua us dagar mein,
Na jaane wo raah le jaaye kahaan,
Phir bhi mein ja raha hoon is pal wahaan...
..
Pahuncha mein ek pahaadi ke tal mein,
Dekha uski oonchi phunch aasman mein,
Chadne chala mein bina kuch soche,
Na jaane mera anjaam kya hoga...
...
Kaante lage mere pairon mein,
Kankad lage meri ungliyon mein,
Phir bhi mein chalta gaya us raste,
Na jaane ky karne chala...
..
Thak gaya yeh shareer mera,
Pairon ne the saath chode,
Phir bhi mein bas chalta gaya,
Us oonchayi par aankh rakhe...
..
Thanda hua mausam achanak,
Baraf se laadha tha pahaad aage,
Lage mere pairon mein wo barf ki talwaar,
Dard utha mere jism mein,
Jisse maut bhi shayad dar jaaye...
..
Par chalta chala mein,
Us raste ki aur,
Joh mujhe shayad le jaaye,
Manzil par...
..
Aur jaate jaate,
Pahuncha mein,.
Jo laga mujhe mera manzil hain,..
Charo taraf khula aasmaan tha,..
Aur mein tha khada dharti ke upar...
..
Pahunch gaya mein us jagah,
Jo duniya ki oonchayi par hain,
Dekh sakta tha mein saari dharthi,
Jo faila tha mere aankhon ke aage...
..
Phir maine socha,
Mein kyun aaya idhar,
Itne dard sahe,
Phir mujhe yaadaaya ek hi baat,
Wo tumhare pyar tale...
..
Aaya tha mein itna door,
Bas ek kaam ke liye,
Chillaya mein zor se wahan,
Jo duniya ko sunayi de...
..
Liya maine tumhara naam,
Izhaar kiya mera pyaar,
Kaho tum sanam agar yeh kam hain,
To jaoon mein chaand par aaj...!!!

-----------------------------------------------------

Tumhari yaad
wo dekho...!
phir mujhe aayi stane..
mere dil ko kabhi dukhane aur kabhi hasane..
tumhen lekin khabar kab hai
ki tum......
mujhe kaise state ho ??
mere dil ko tum hi tum yaad aate ho
magar tum kaise janoge
tumhe kaisey bataoon mein...
...
tumhari yaad
mujhe har pal stati hai
mere dil ko kabhi dukhati hai kabhi hasati hai
sabhi chain-o-aaram mere
is dil se kab ke ho gaye rukhsat
jin ko tumhari yaad ne cheena
mujhe bebas sa ker k rakh diya hai
ab...
..
mera dil bas tumhare hi pyar aur yaad ka dariya hai
yahaan sailaab aate hain
tabahi si machaate hain
meri neend,mera chain sab kuch
k sab kuch khatam hi to ho gaya hai
magar tum kya karoge...???

kar bhi sakte ho tum.
yun karo
laut aao....
aur mujhe apna banakar le jao.
ya yun ker lo....
ye zindagi le jao...
mujhe maut ka peghaam de jao...
..
taki tumhari yaad
sataye na, kabhi hasaye kabhi rulaye na...!!!

----------------------------------------------------------------

Na pucho kya usne dil ke haal ka jawab bheja,
Salaam likh ke usne haal e dil tamam likh bheja,
...
Hotoon ko mere usne dil ka paigam likh bheja,
Ek lafz mein usne naam unka jaam likh bheja,
...
Aankhon ko meri palkon ki apne deedar de bheja,
Usne palken milake kudrat ka unko inaam bana baitha,..

Milne ki tamanna ko vo haseen intzaar bana baitha,
Qayamat ki shaam ko woh mulaqat ki tareekh bana baitha,
..
Mere sawaloon mein dil ki tadap ko wo ilzaam bana baitha,
mohabat ko apni mere liye wo jawani ka intqam kah baitha,
..
Socha na tha jo khwaboon mein bhi aaj mujhko wo bana baitha,
Zaalim dushmano mein naam mera dekho shamil mera sanam kar baitha...!!!

Monday, May 25, 2015

is dard bhari duniya mein, kitne tanha hain hum

Teri yaad aati hai,

Tere jane ka gum bhulaata hoon,
To tere aane ki yaad aati hai.
Jab saath hua karte the hum bhi,
Us zamaane ki yaad aati hai….!

Kabhi chubhati,kabhi gudgudati hai,
Teri yaad aati hai…!

Gum nahi ki usne hume bhulaya ,
Ranj hai ki khud ko tadpaaya hoga.
Mere khaton ke alfaaz mitane ko,
Na jane kitna ashq bahaaya hoga….!

Kabhi rulaati, kabhi haNsaati hai,
Teri yaad aati hai…!

Meri tasveer me jo aag lagaai hogi,
Apne haathon ko v jalaaya hoga.
MehNdi jo saji hogi haathon me,
Lahoo mere jigar ka usme aaya hoga….!

Kabhi jalaati, kabhi bujhaati hai,
Teri yaad aati hai…!

Kehte haiN waqt har gum bhar deta hai,
Ye soch kar, mera sanam rota nahi….!
Par koi samjhaaye us paglii ko,
Log kehte hai,magar aisa hota nahi….!

Kabhi chupaati hai, kabhi dikhaati hai,
Teri yaad aati hai….!

Mera aks na jane kitne tukdo me usne,
Apni un ankhiyo se bahaaya hoga.
palkoN ke chilmann me na jaane,
kitne muddato mujhko chipaaya hoga…!

Kabhi bhulaati, kabhi apnaati hai,
Teri yaad aati hai...!!!

---------------------------------------------------------------

Gam e zindagi mein dubo diya jisne hamen,
Beech majhdaar mein chhod diya jisne hamen,
Na jaane aaj bhi in aankhon ko uski talaash kyun hai
...
Kyu hai woh shaks aaj bhi pyaar ke kaabil,
Kyu hai woh shaks aaj bhi is dil mein shaamil,
Door hote hue bhi mujse woh aaj bhi mere pass kyu hain
..
Nahi samjah pata ulfat-e-manzar ko main,
Na hosh hai khud ki na khabar hai khud ki,
Par phir bhi na jaane dil mein uska ehsaas kyun hai
..
Bahut mile hai log is duniya main mujhe,
Bahut apnaye hai rishte is duniya mein maine,
Na jane aaj bhi lagta woh rishta khaas kyun hai
..
Toot ke gir chukka hu ek laash ki tarah,
Aur shayad ruk si gayi hai dhadkan bhi meri,
Par na jaane is jism mein baaki abhi bhi saans kyun hai......
Na jaane is jism mein baaki abhi bhi saans kyun hai...!!!

--------------------------------------------------------------------------------------

Jidhar bhi dekhtaa hoon tanhaai nazar aati hai
aapke intzaar mein har shaam guzar jaati hai...
...
main kaise karun gilaa dil ke zakhmon se huzoor
aansu chhalakte hain meri soorat nikhar jaati hai.
..
tod diye hain maine apne ghar ke saare aayine
meri rooh mera hi chehraa dekh ke darr jaati hai..
..
ro ke halke ho lete hain zara se teri yaad mein...
zara si na-muraadon ki tabiyaat sudhar jaati hai..
..
asar karti yakeenan gar choo jaati unke dil ko lekin
afsos ke aah meri fizaaon hi mein bikhar jaati hai..
..
maikade main jab bhi zikr aata hai tere naam ka
shaam ki pee hui sar-e-shaam hi utar jaati hai..
..
kabhi aa ke mere zakhmon se muqabla to kar
aye khushi tu moonh chhuppaa ke kidhar jaati hai..
tujhe inhi kaanton pe chal ke jaana hoga
unke ghar ko bas yahi aik rehguzar jaati hai...!!!

---------------------------------------------------------------------------

Jab dil use bula raha tha,
wo khadi dur muskura rahi thi,
jab gaya gilaa jataane to pata chala,
wo to apne ansu chhupa rahi thi.....
...
sochata tha dard akele sahata hu mein,
jab gaya gila jatane to pata chala,
wo chhup chhup ke gam chhupa rahi thi.....
..
sochata tha sirf mein hi taare ginta hu raton me,
jab gaya gilaa jataane to pata chala,
wo geet gaake khud ko sula rahi thi...
..
sochta tha sirf mere kamre me tanhai hai,
jab gaya gilaa jataane to pata chala,
wo mahfil me ro roke aankhe suja rahi thi...
..
sochta tha sirf meine basaya use sanso me,
jab gaya gilaa jatane to pata chala,
wo rubaru hoke aaine se pyaar jata raha thi...
..
sochta tha sirf thokare mein khata hu dar dar ki,
jab gaya gilaa jataane to pata chala,
wo zarre zarre pe surat meri banaa rahi thi....
...
sochta thi sirf main judaai me duuba hun,
jab gaya gilaa jataane to pata chala,
wo chhat pe khadi mujhe buula rahi thi...!!!

------------------------------------------------------------------------

Bahot Door Janay Ko "Dil Chahta Hai"
Phir Wapis Na Anay Ko "Dil Chahata Hay"

Bahot Door Hai Tu Magar Phir B Hum Ko
Teray Pass Anay Ko "Dil Chahata Hai"

Dosti Tujh Say Nahi Teri Seerat Say Ki Hai Is Liye
Dost Bananay Ko "Dil Chahata Hai"

Bharoosa Na Tha Dosti Per Kabi Hum Ko
Tere Milne K Bad Bharoosa Kernay Ko "Dil Chahata Hai"

Hamain Narazgi Main Is Terhan Manaya Hai Tu Ne K
Phir Ruth Janay Ko "Dil Chahata Hai"

Tu Achhha Hai, Tujh Say yu Rutha Na Jaye
Per Tujhay Satanay Ko "Dil Chahata Hai"

Dosti Ne Diye Bahot Faraib Hum Ko Mager
Teri Dosti Ko Nibhanay Ko "Dil Chahata Hai"

Tu Sehta Hai Sab Kuch Magar Piyar Kerta Hai
khuda Say
Tujhay Mangnay Ko "Dil Chahata Hai"

khuda Nay Banaya Hai Tujh Ko Khoobsoorat Matti Say
khuda Ka Shuker Baja Lanay Ko "Dil Chahata Hai" ........

-----------------------------------------------------------------------------------

Mujhe tum chhor mat dena...

hazaroo,n dooriyan hein par...

ye rishta torr mat dena...

mera chehra bhula dena...

meri yadein bacha lena..

jo lamhey dard dete hon..

unhein beshaq bhula dena...

jo lamhe aass dete hon..

unhein dil se laga lena..

kahin bhi door rehlena...

bohut majboor reh lena...

magar iss doori ko tum bahana mat bana lena...

taaluq tor mat dena mujhey tum chhor mat dena..

-------------------------------------------------------------------------

Safar me dhup to hogi jo chal sako to chalo,
sabhi hai bheed me tum bhi nikal sako to chalo,
yahi hai zindgi kuchh khwab chand umeedein,
in khilono se tum bhi bahal sako to chalo. ......!!!!!!!

Tuesday, May 19, 2015

apne hoke bhi mehfil mein ajnabi ban ke nikal jaate hai

Dil ko mere uski hi chahat hai to hai,
gustakhi yeh mere dil ki unke liye hai to hai,
...
dil mein jo tha mera raaz wo aaj labon pe hai to hai,
ab zamane ki nazron mein yeh himakat hai to hai,
...
khwaboon mein hi sahi unse mulaqat hoti hai to hai,
pass na hoke bhi durr se hi ehsaas uska dil ko hai toh hai,
...
mumkin nahin wo mera humsafar ho jaye yeh sach hai to hai,
uski baahon mein dum mera nikle yeh hasrat fir bhi hai to hai,
...
shama ke saath parwana bhi jalta hai yeh mohabat hai to hai,
mohabat naam paane ka nahin usmein kho jana hai bhi to hai,
...
woh saath na hoke bhi pass hai woh yeh ehsaas dil ko hai to hai,
uski saason ki mala ban gayi mere saasoon se judi dor hai to hai,
...
jaise na kabhi mil sake zameen aur aasmaan wo alag hai to hai,
duriyoon ke baad bhi dil mein khurbat unke liye dil mein hai to hai,
...
na paaye hum saath manzil ko fir bhi dil ke yeh armaan hai to hai,
duniya ki nazaron mein woh hamare liye apna hoke bhi gair hai to hai...!!!

-------------------------------------------------------------------------------------------------------------

Ek ladki pagal diwani ,gumsum chup chup si rahti thi
barish ki tarah shor nahi karti,jheel ki tarah wo bahti thi
koi us ko padh na pata ,koi us ko samjh na pata
ek najar bhar dekhkar har koi aage badh jata
Dari sahmi si uski aankhen,na jane kya kya kahti thi
...
ek shakhs dikhata tha aksar ,jo ata jata us ke ghar
lata sath main ek thokar ,khush hota use chot dekar
jitne pal rukta tha aakar ,woh us main simatee rahtee
jo ghav chor ke jata woh ,un choton se lipti rahti
us ki baton ko itna sach wo samjhti thi
Us k kahne par wo khud ko pagal kahti thi
woh hansatha tha jab jab us pe,woh bhi hansti rahti thi
jab jab ata tha us ke ghar,us ko kosa karata tha
na pyar ki kadar koyee,har waqt usse ladhta tha
us ko kinara mana us ne,us tak hi woh bahti thi
pyar bala ka tha usse hi ,jiske tane sahti thi
....
ik din aisa bhi tab aaya,woh aaya par dar khula nahi
darwaze par hansata hua,ek chera us ko mila nahi
darwaza khol magar jab,ghar ke woh anadr aya
darwaze se kuch door us ne ,kagaz ka ik tukra paya
aansoo se the harf likhe ,aansoo kee baat bikhri thi
har akhsar tha dhula hua,har baat hi nikhri nikhri thi
ab sambhal ke rakhna khud ko,itna mat gussa karana
aur kisee ne kab seekha hai,tum pe jeena tum pe marana
woh pagal larkee rahee nahi, jo tum ko khoob samjhti thi
tum main hai woh kahi,tum tak hi uski duniya simati thi
jo tumahre har tane main ,pyar hamaesha parhti thi
tum jab jab thokar mara karte,badh ke pair pakarti thi
....

ab usi ghar main tab se,ek pagal insan rahta hai
mujhe chor ke mat jao,parchayiyon se kahta hai
bas saye woh dekhata hai,parchiyan pakarta hai
jab jab us ko dekhana ho,aaina dekha karta hai
jab kabhi bhi pyar karo,pyar ko jane mat dena
jo tumko pooje us ko tum,pyar main tane mat dena
warna parchai ko pakroge,aur saye rah jayenge
apana ek na payoge ,sab praye rah jayenge
Aaj samjha wo uski diwani aankhe kya kahti thi
Ek ladki pagal diwani gumsum chup chup si rahti thi
Barish ki tarah shor nahi karti,jheel ki tarah wo bahti thi..!!!

-------------------------------------------------------------------------------------

Hawaan ke har ek jhokein
teri khoshboon lati hai
uski har ek sar-sarahath
teri aahat sunati hai..
..
Gali ke har ek mod par
tujhe dekhne ki aarzoo hoti hai
neend mein aur khwaab me
milne ki chahat hoti hai
..
Palko ko band kare to
ek pal mein tere kareeb hote hai
bhagwan ki surat mein bhi
tera hi deedar hota hai
..
Tujhse door ho ke bhi
teri sansein mehsoos hoti hai
do jism ho kar bhi
dil to ek hi dhadakta hai
...
Begaane ho magar
tujhse woh apnapan hai
dil mein samaye ho
phir bhi itni dooriyan hai
tere khayalo mein doob kar
duniya bhoola dete hai
aankhein khooli ho magar
tere sapne dekha karte hai
..
Teri judaai mein hum
Mar mar ke jiya karte hai...!!!

-------------------------------------------

Bahut Tadpata hain ye pyar ka dard
Fir bhi use main chipata hun
Tujhko na karunga badnam
Lo barbad main ho jata hun..
..
Sab kuch lutaya tere pyar pe mene
Bache aansu jo teri yaad mein bahata hun
Kho na jaun kahi gam ke andhero main
Ye sochkar teri yaado se dil ko jalata hun
...
Bas ek bar tu aa mere paas ki
Dil ki tadap me tujhko dikhata hu
Tujhse hi kiya hai meine bepanah pyar
Aa dekh dil chirke tujhe dikhata hun...!!!

---------------------------------------------------------

usko chaha hum ne apni hi khta thi,
chaha bhi usko jo khud ek khuda thi.
...
ab to is dil ne bhi maan liya,
wo ladki nahi,meri khushiyon ki chita tha.
..
mere hi kaatil hi anjaan hue hain mujhse.
mile jo rahon me to fitrat hi kuch juda thi.
..
dil ki pyaas jagakar pyase sehra me chhod aaye,
ye karam bhi mujh pe mere yaar ki ada thi.
..
toone dekha bhi na peeche mud ke o' humnawa
wo koi girti deewar nahi is toote dil ki sada thi...!!!

------------------------------------------------------------------------

Yaadon Ki Chali Purwaayi Teri Yaad Aayi,
Ashq Aankhon Mai Chaayi, Teri Yaad Aayi..
..
Kaise Kisi Se Ham Dil Lagaa Len Sanam,
Nazar Jo Maine Uthaayi, Teri Yaad Aayi..
...
Bhanwaron Ko Dekha Phoolon Ki Chaah Me,
Chaahat Hai Meri Ladkhdaayi, Teri Yaad Aayi..
...
Roshni Ke Chhaah Mai Jalata Hai Patanga,
Hasti Meri ab Dagmagaayi, Teri Yaad Aayi..
...
Tum Mile To Mukkamal Ho Jaaye Meri Duniya,
Mohabbat Manzil Par Hai Laayi, Teri Yaad Aayi...!!!

Thursday, May 14, 2015

uda ke le gaya neenden aankho se

ek khwahish, ek aarzoo hai..
dil-e-tammanna bankar dil mein samana chahta hoon..
..
Jaane kaunsi aawaz ko tarase hai khushi..
usi aawaaz par jannat lutana chahta hoon..
..
tanhai mein ek apne se sakha ka saath hai..
us insaan ki hasti se ek naata banana chahta hoon..
..
youn to aasman mein taare jhilmilate hai..
main to ek tara bankar toot jana chahta hoon..
..
itne taaron ki mehfil mein chand tanha hai to kya..
main bhi uski chandni mein nahana chahta hoon..
..
lamha lamha zindagi hai... Zamane bhar na reh sake..
main to ek lamha bankar simat jaanna chahta hoon..
...
youn toh aate rehte hai khwab tujhko jaan k..
main tujhe khwabon mein aakar satana chahta hoon..
..
jan -e - jahan, na ban anjaan mujhko jankar..
main tujhe har saans se jaan jana chahta hoon..
..
youn to teri dhadkanon pe haq tera hi khoob hai..
jaan-o-ruh bankar main bhi sargam churana chahta hoon..
...
gar tu keh de mujhe jaan-e-wafa, ae zindagi..
apne dil ko jara si mohabbat sikhana chahta hoon..
..
jaan meri, ishq mere ahsaas tujhko khoob hai..
ishq ke sagar mein ab doob jana chahta hoon...!!!

-------------------------------------------------------------------------------------------

Tujh bin jeena nahi mujhko ganvaara,
Mera to tu hi hai ek sahaara.
Tujh bin jiya jaayega mujhse nahi,
rehta hai in aankhon mein tera intzaar wahi.
..
jaise pukaar raha hai koi mujhe kahin,
jaanta hun ki tum hi ho,
phir bhi saamne tum aate kyun nahi.
khel rahe ho yun dil se mere kyun?
mar na jaayein is khel mein hum kahin.
duniya ne to thaan li hai khaak mein hume milaane ki,
kya tum bhi shaamil ho usi kataar mein kahin???
tum saath doge to duniya se bhi lad lenge,
par aur nahi himmat judai ka gam uthaane ki.
....
tumse juda ho kar mein reh na paaya,
maaf bhi khud ko kabhi main kar na paaya.
Bahut ki koshish tumhe bhulaane ki,
lekin chaah kar bhi tumhe bhula na paaya.
jab jaante the tum ki juda ho jaayenge hum,
tab meri zindagi mein aaye hi kyun?
..
socha bahut hum tumhe haan kahen bhi ya nahi"
par is dil par mera zor chala nahi.
bani hui thi teri surat dil ki deewaron pe meri,
apni us pehli mulaakat se hi.
lekin tujhe is baat ka kabhi pata chala hi nahi.
Jab kaha tumne karte ho mohabbat humse tum bhi,
mere diwaane dil ko aaya yakin bilkul nahi.
Aata bhi kaise tumne kabhi koi ishaara na diya,
chaahne lage the hum to tumhe pehli nazar mein hi.
bata dete tumhe ye, itna honsla hum mein tha nahi.
socha gar naraaz ho gaye tum humse,
to khud ko maaf kar paayenge hum nahi.
tumhari dosti ke bina ji paayenge hum nahi.
..
kat rahi thi zindagi meri bhi khushiyon ke saaye mein,
shaayad khuda ko yeh bhi pasand aaya nahi.
kuch is kadar khafa hua khuda mujhse,
Yahan hun main, aur mera hum dum hai aur kahin.
Darmayaan doori hai, judai hai, tanhai hai,
dard ke alaawa khuda se aur kuch mila nahi.
phir duniya bhi bigad gayi mujhse,
itne kehar dhaaye gaye phir mujhpe.
...
waapas jaane ka jab bhi liya naam maine,
jakda zanjeeron mein mujhe sabne yahin.
mohabbat se meri kiya mujhko door,
ab to unhi ka chehra nazar aata hai mujhe har kahin.
jaana hai mujhe mere hum dum ke paas,
dil ki mere yehi pehli aur aakhiri aas.....


Paa loonga tumhe phir ya nahi..
koi raasta nazar mujhe aata nahi.
tadap raha hun tere pyar ke bina main,
tadap raha hogi tu bhi kahin.
Sache premiyon ke naseeb mein kyun gam aate hain?
kyun dilwalo ki khushiyan, khuda se dekhi jati nahi?
kyun bhari meri zindagi judaai ke gam se?
kyun khuda ko mujh par taras aata nahi?
Kyun aaye saare gam mere hi hisse mein?
de rahi hai saugaat mein aur gam mujhe yeh duniya,
lagta hai, abhi ise bhi chain aaya nahi.
...
Kab hogi mere dil ki murrad poori?
kab tak jiyoonga main yeh zindagi adhoori.
Khushiyan kabhi to mere daaman mein hogi ya nahi?
is baat par yakin mujhe aata nahi.
apni mohabbat ke bina ji paaonga nahi,
chod doonga yeh saanse, mar jaounga mein yahin,
gar jeena pada tumhare pyar bina mujhe kahin...!!!

------------------------------------------------------------------------------

Dil ko dhakadna sikha doon wo ishq hoon..
Husn ko aur haseen bana doon wo ishq hoon..

Mere bina tera har jalwa hai bemaani..
Teri alag pehchan bana doon wo ishq hoon..

Mujhse nazren mila ke to dekh..
Tujhe nigahon me basa loon wo ishq hoon.
-----------------------------------------------------

ker reha tha gham e jaan ka hisaab
ajj tum yaad be hisaab aaaye



gar mujhe bhula paaye to mujhe bhi samjhana
dill se naqash yaadun k kistarah nikalte hain


KITNA YAAD AATE HO POCHTE HO KIU MUJH SE
JITNAAA YAAD KARTE HO UTTNNE YAAD AATE HO


CHAMAK utthta hai sar e shaam teri yaad ka chaand
kabhi tareeek na dekhi shab e furqat main ne


kuch log khaayalon se chale jaain to sooain
beete howe din raat na YAAD AAain to sooain
chehre jo kabhi hum ko dikhaayi nahi dain ge
aa aa k tasawur main na tardpaain to sooain


ho gai dill ko teri Yaad se ik nisbat khas
abb to shayad hi mayasar kabhi tanhaayi ho

qabaaye jism k her taar se guzarte howe
kiran ka payaar mujhe aaftaab kar de ga
meri tarah koi hai jo zindagi aappni
tumhaari YAAD k naam intasab kar de ga


rooh ko tardpa rehi hai unki yaad
dard ban k chaah rehi hai unki yaad
ishq se ghabra rehi hai uki yaad
rukte rukte aarehi hai unki yaad



unn se bhii cheen lo ge yaad appni
jin kaa imaan ho gai ho gi

Tuesday, May 12, 2015

Meri khamoshi ko bewafai batakar usne khud pe gumaan kar lia

aasma k us paar kya hai,
yeh jaan pana hai mushkil,...
..
mausam jo pal bhar me badal jata hai..,
is badlav ko jhel pana hai mushkil,......
...
uthtii hui lehre kinaro pe aake takra jati hai,..
lehro k in isharo ko samajh pana hai mushkil,..
..
majhdhar me phas jati hai jo jeevan ki kashti,...
use kinare tak le aa pana hai mushkil,...
..
phulo k rangon se sajne lagti hai jab zindagi,..
tab aate huwe tufano ko rok pana hai mushkil,...
..
intzaar me takti nazar chup si reh jaye,...
us khamoshi ko tod paana hai mushkil,,
,,
tod ke dil ko jab koi chala jata hai,..
bikhare tukdo ko samet pana hai mushkil,...
...
bichad jaye jab koi apna sa,...
yaadon ko phir bhula pana hai mushkil....
...
khokar sabkuch jo jeeye ja raha ho,..
uske dard ko bant lena hai mushkil....
...
aankho me hazaro sawal liye hai jo,
unka jawab de pana hai mushkil....
..
kisike dil tak baat ja pahuche,
aisi boli dhund paana hai mushkil..
...
marna chaha jab ub ke zindagi se,..
takdeer ko modna tab hogaya mushkil...!!!

-------------------------------------------------------------

hasaati hai zindagi,rulati hai zindagi..phir bhi dilko lubhati hai zindagi,...
jeevan k shoro gul mein kho gayi hai hasti,phir bhi dilko behlati hai zindgi...
..
kuchal k saare sapne sunehre,nayi ummide jagaati hai zindagi,..
har rishte ko bhula chuke hai,naye rishton ka saamna karati hai zindgi....
..
dhusman bane hai sab yaha,par dosti ka taraana gaati hai zindagi,..
har kosish nakamayab rahi,phir bhi ladne ka jhazba dilati hai zindagi,...
....
pyar me sabkuch khokar bhi,is khel ko khelne me uksati hai zindagi,..
ashko se bheeg chuka hai daaman,phir bhi aas ka diya jalaati hai zindagi,...
...
veerani chayee hai har taraf,k baharo ka sandesha deti hai zindagi,
tadap uthe hai armaan saare,naye armaano ko umadne deti hai zindagi,..
...
takdeer pe ab bharosa na raha,aur aane wale kal ki soch dilati hai zindagi,
hasaati hai zindagi..rulati hai zindagi..phir bhi dilko lubhati hai zindagi...!!!

------------------------------------------------------------------------------------------------------------

tabse tasveer ko teri seene se laga rakhi hai,
meri haalat dekh teri tasveer bhi ab ro di hai.
humne tasveer se pucha, dard to hum seh rahe hai?
tasveer bol uthi,hum hi hai jo aapko unki yaad dila rahe hai...
..
yeh sunte hi aankhen bol padi hai,
hum to tasveer dekh bhi nahi pa rahe hai...
kyunki mehboob ki jhalak to inke dil me pa rahe hai....
....
dil bhi ye baaten sunke keh utha hai,
humne unki yaadon ko yahan qaid kar rakha hai,
yeh hamari galti hai,jo humne unko samet rakha hai...
....
tabhi dhadkane bol uthi,
dil to masum hai,hum hai gunehgar jo saanson ko jodte ja rahe hai,...
...
saanson ko ab chup raha na gaya,..
dhadkan ki kya galti.wo toh hum hai jo ummido ko liye baithe hai,
..
tabhi man keh utha..ummido ko humne yahan palne diya,
hum hai jisne inko itna dard diya...
...
yeh sunke ruh bechain ho uthi..
.pyar ka ehsaas yaha tak hai samaya..
shayad humne hi is dastaane ishq ko aage hai badhaya...
...
tabhi aasman se aawaz sunayi di...galti hamari soch ki hai jo
humne insan banaya,usko pyar karna shikhaya...
par yeh nahi jan paye ki
pyar k naam pe humne usko dard se milwaya...!!!

--------------------------------------------------------------------------------------

Aarzoo yeh nahin ki tujhko hum pa jaye,
hai bus yeh hi tamanna tere ishq mein mar jaye,...
...
Jo tere labzoon mein naam mera aajaye,
meri bhi mohabat mein koi aukat ban jaye,..
...
Jo tu dil mein basa le to kya baat ho jaye,
Yeh dil hamara tere naaz uthata jaye,..
..
Dekh le tu jo ek baar muskara kar gazab ho jaye,
humko hamari surat se bhi pyar ho jaye,..
...
Hai jahan mein bahut jo aap pe jaan luta jaye,
par kuch pyas is dil ki bhi to bhoojh jaye,..
..
mehfil mein ruswa hone ke liye hum bhi taiyaar ho jaye,
tu aake hume gale se apne laga jaye....,
..
hum apni har haqiqat tujhko suna jaye,..
tu jo hamara aaina ban jaye,..
...
saans jab tak hamari ye ruk na jaye,
hai aarzoo bus itni teri bahon mein yeh zindagi khatam ho jaye...!!!

----------------------------------------------------------------------------------------------

Tum lakh rutho humse yeh dil tumko mana lega,
aapke dil mein pyar hamara bus jayega,..
..
tum na chaho phir bhi dil tumhi ko chahega,
dekhna ek din tu mera khuda ban hi jayega,.
.
tu jo ek baar dekh le palat ke tera kya jayega,
sir jhuka denge hum tu aansoon apne rok na payega,.
...
tu lakh khila le chahe kaliyan daman mein to kya ho jayega,..
meri khushboo un kaliyon se bhi na tu bhool payega,...
..
tu na pakde haath mera to kya saath choot jayega,
tu dur hoke bhi mujhse dur kahin ja nahin payega...!!!

------------------------------------------------------------------------------------

Na jaane kya ada us ki nazron mein hain,
aankhon se baat karna usse aata kyu hain,..
.
Na jaane kya baat uski baaton mein hai,
lobon mein raaz chupana usse aata kyu hain,..
..
Na jaane kya baat uski muskaan mein hai,
hum ko jalake use hasna aata kyu hain,..
..
Na jaane kya mazaa uske intezaar mein hai,
Dil ko uski raah takhna acha lagta kyu hain,.
..
Na jaane kya baat uski chahat mein hain,
hadd se guzarna mohabat mein aakhir usse aata kyu hain...!!!

-----------------------------------------------------------------------------------------

Kuch is tarah unko chahne ab hum chale,
Jism se rooh mein unko utarne chale,..
..
Unke daman mein jitne thay kaate woh chunne hum chale,
Maathe se unke ab sab shikan mitane hum chale,..
..
Raat jo dhali toh unko yaad karne chale,
Neend apni khoke unko sulane chale,...
...
aaj taqdeer se apni ladne hum chale,
kismat nahin jo usse kismat banane chale,..
..
.Ab to har haq unke naam kar chale,
Unke har ilzaam pe bhi ab sir jhukaye hum chale...!!!