Pehle main chain se soya karta tha
ab raaton ko karvaten badalne laga hoon main
...
pehle main bahut baaten kya karta tha
ab chup chup rehne laga hoon main..
...
pehle mehfilon mein raha karta tha
ab akele rehne laga hoon main..
..
shayri aur kavita ka shoq tha mujhe
par ab khud shayri likhne laga hoon main..
...
us se mulaqaat hone ke baad jaane kyon..
usi ke baar mein hi sochne laga hoon main..
..
zindagi ke safar mein akele chalte chalte achanak
unke saath chalne ki khwahish karne laga hoon main..
..
jo lamhe humne saath bitaaye thay
wo lamhe ab roz yaad karne laga hoon main..
..
sab log mere khoye khoye rehne ki wajah puchte hai
par ab yehi sawaal khud se puchne laga hooon main..
.
bhale hi wo mujhse door hai par
har ghadi unki aahat mehsus karne laga hoon main..
..
pehle wo mujhe begaane lagte thay
par ab unme apnapan mehsus karne laga hoon main..
..
pehle main pyaar ki baaten nahi samajhta tha
par ab wo saari baaten samjhne laga hoon main...
..
main apni khud ki haalat pe hiraan hoon
kyon aisa hone laga hoon main..
mujhe aisa lagne laga hai yaaron
shayad unse pyaar karne laga hoon main...!!!
---------------------------------------------------------------------------
Nikhal pada mein apne ghar se,
Chalta hua us dagar mein,
Na jaane wo raah le jaaye kahaan,
Phir bhi mein ja raha hoon is pal wahaan...
..
Pahuncha mein ek pahaadi ke tal mein,
Dekha uski oonchi phunch aasman mein,
Chadne chala mein bina kuch soche,
Na jaane mera anjaam kya hoga...
...
Kaante lage mere pairon mein,
Kankad lage meri ungliyon mein,
Phir bhi mein chalta gaya us raste,
Na jaane ky karne chala...
..
Thak gaya yeh shareer mera,
Pairon ne the saath chode,
Phir bhi mein bas chalta gaya,
Us oonchayi par aankh rakhe...
..
Thanda hua mausam achanak,
Baraf se laadha tha pahaad aage,
Lage mere pairon mein wo barf ki talwaar,
Dard utha mere jism mein,
Jisse maut bhi shayad dar jaaye...
..
Par chalta chala mein,
Us raste ki aur,
Joh mujhe shayad le jaaye,
Manzil par...
..
Aur jaate jaate,
Pahuncha mein,.
Jo laga mujhe mera manzil hain,..
Charo taraf khula aasmaan tha,..
Aur mein tha khada dharti ke upar...
..
Pahunch gaya mein us jagah,
Jo duniya ki oonchayi par hain,
Dekh sakta tha mein saari dharthi,
Jo faila tha mere aankhon ke aage...
..
Phir maine socha,
Mein kyun aaya idhar,
Itne dard sahe,
Phir mujhe yaadaaya ek hi baat,
Wo tumhare pyar tale...
..
Aaya tha mein itna door,
Bas ek kaam ke liye,
Chillaya mein zor se wahan,
Jo duniya ko sunayi de...
..
Liya maine tumhara naam,
Izhaar kiya mera pyaar,
Kaho tum sanam agar yeh kam hain,
To jaoon mein chaand par aaj...!!!
-----------------------------------------------------
Tumhari yaad
wo dekho...!
phir mujhe aayi stane..
mere dil ko kabhi dukhane aur kabhi hasane..
tumhen lekin khabar kab hai
ki tum......
mujhe kaise state ho ??
mere dil ko tum hi tum yaad aate ho
magar tum kaise janoge
tumhe kaisey bataoon mein...
...
tumhari yaad
mujhe har pal stati hai
mere dil ko kabhi dukhati hai kabhi hasati hai
sabhi chain-o-aaram mere
is dil se kab ke ho gaye rukhsat
jin ko tumhari yaad ne cheena
mujhe bebas sa ker k rakh diya hai
ab...
..
mera dil bas tumhare hi pyar aur yaad ka dariya hai
yahaan sailaab aate hain
tabahi si machaate hain
meri neend,mera chain sab kuch
k sab kuch khatam hi to ho gaya hai
magar tum kya karoge...???
kar bhi sakte ho tum.
yun karo
laut aao....
aur mujhe apna banakar le jao.
ya yun ker lo....
ye zindagi le jao...
mujhe maut ka peghaam de jao...
..
taki tumhari yaad
sataye na, kabhi hasaye kabhi rulaye na...!!!
----------------------------------------------------------------
Na pucho kya usne dil ke haal ka jawab bheja,
Salaam likh ke usne haal e dil tamam likh bheja,
...
Hotoon ko mere usne dil ka paigam likh bheja,
Ek lafz mein usne naam unka jaam likh bheja,
...
Aankhon ko meri palkon ki apne deedar de bheja,
Usne palken milake kudrat ka unko inaam bana baitha,..
Milne ki tamanna ko vo haseen intzaar bana baitha,
Qayamat ki shaam ko woh mulaqat ki tareekh bana baitha,
..
Mere sawaloon mein dil ki tadap ko wo ilzaam bana baitha,
mohabat ko apni mere liye wo jawani ka intqam kah baitha,
..
Socha na tha jo khwaboon mein bhi aaj mujhko wo bana baitha,
Zaalim dushmano mein naam mera dekho shamil mera sanam kar baitha...!!!

No comments:
Post a Comment