Thursday, May 14, 2015

uda ke le gaya neenden aankho se

ek khwahish, ek aarzoo hai..
dil-e-tammanna bankar dil mein samana chahta hoon..
..
Jaane kaunsi aawaz ko tarase hai khushi..
usi aawaaz par jannat lutana chahta hoon..
..
tanhai mein ek apne se sakha ka saath hai..
us insaan ki hasti se ek naata banana chahta hoon..
..
youn to aasman mein taare jhilmilate hai..
main to ek tara bankar toot jana chahta hoon..
..
itne taaron ki mehfil mein chand tanha hai to kya..
main bhi uski chandni mein nahana chahta hoon..
..
lamha lamha zindagi hai... Zamane bhar na reh sake..
main to ek lamha bankar simat jaanna chahta hoon..
...
youn toh aate rehte hai khwab tujhko jaan k..
main tujhe khwabon mein aakar satana chahta hoon..
..
jan -e - jahan, na ban anjaan mujhko jankar..
main tujhe har saans se jaan jana chahta hoon..
..
youn to teri dhadkanon pe haq tera hi khoob hai..
jaan-o-ruh bankar main bhi sargam churana chahta hoon..
...
gar tu keh de mujhe jaan-e-wafa, ae zindagi..
apne dil ko jara si mohabbat sikhana chahta hoon..
..
jaan meri, ishq mere ahsaas tujhko khoob hai..
ishq ke sagar mein ab doob jana chahta hoon...!!!

-------------------------------------------------------------------------------------------

Tujh bin jeena nahi mujhko ganvaara,
Mera to tu hi hai ek sahaara.
Tujh bin jiya jaayega mujhse nahi,
rehta hai in aankhon mein tera intzaar wahi.
..
jaise pukaar raha hai koi mujhe kahin,
jaanta hun ki tum hi ho,
phir bhi saamne tum aate kyun nahi.
khel rahe ho yun dil se mere kyun?
mar na jaayein is khel mein hum kahin.
duniya ne to thaan li hai khaak mein hume milaane ki,
kya tum bhi shaamil ho usi kataar mein kahin???
tum saath doge to duniya se bhi lad lenge,
par aur nahi himmat judai ka gam uthaane ki.
....
tumse juda ho kar mein reh na paaya,
maaf bhi khud ko kabhi main kar na paaya.
Bahut ki koshish tumhe bhulaane ki,
lekin chaah kar bhi tumhe bhula na paaya.
jab jaante the tum ki juda ho jaayenge hum,
tab meri zindagi mein aaye hi kyun?
..
socha bahut hum tumhe haan kahen bhi ya nahi"
par is dil par mera zor chala nahi.
bani hui thi teri surat dil ki deewaron pe meri,
apni us pehli mulaakat se hi.
lekin tujhe is baat ka kabhi pata chala hi nahi.
Jab kaha tumne karte ho mohabbat humse tum bhi,
mere diwaane dil ko aaya yakin bilkul nahi.
Aata bhi kaise tumne kabhi koi ishaara na diya,
chaahne lage the hum to tumhe pehli nazar mein hi.
bata dete tumhe ye, itna honsla hum mein tha nahi.
socha gar naraaz ho gaye tum humse,
to khud ko maaf kar paayenge hum nahi.
tumhari dosti ke bina ji paayenge hum nahi.
..
kat rahi thi zindagi meri bhi khushiyon ke saaye mein,
shaayad khuda ko yeh bhi pasand aaya nahi.
kuch is kadar khafa hua khuda mujhse,
Yahan hun main, aur mera hum dum hai aur kahin.
Darmayaan doori hai, judai hai, tanhai hai,
dard ke alaawa khuda se aur kuch mila nahi.
phir duniya bhi bigad gayi mujhse,
itne kehar dhaaye gaye phir mujhpe.
...
waapas jaane ka jab bhi liya naam maine,
jakda zanjeeron mein mujhe sabne yahin.
mohabbat se meri kiya mujhko door,
ab to unhi ka chehra nazar aata hai mujhe har kahin.
jaana hai mujhe mere hum dum ke paas,
dil ki mere yehi pehli aur aakhiri aas.....


Paa loonga tumhe phir ya nahi..
koi raasta nazar mujhe aata nahi.
tadap raha hun tere pyar ke bina main,
tadap raha hogi tu bhi kahin.
Sache premiyon ke naseeb mein kyun gam aate hain?
kyun dilwalo ki khushiyan, khuda se dekhi jati nahi?
kyun bhari meri zindagi judaai ke gam se?
kyun khuda ko mujh par taras aata nahi?
Kyun aaye saare gam mere hi hisse mein?
de rahi hai saugaat mein aur gam mujhe yeh duniya,
lagta hai, abhi ise bhi chain aaya nahi.
...
Kab hogi mere dil ki murrad poori?
kab tak jiyoonga main yeh zindagi adhoori.
Khushiyan kabhi to mere daaman mein hogi ya nahi?
is baat par yakin mujhe aata nahi.
apni mohabbat ke bina ji paaonga nahi,
chod doonga yeh saanse, mar jaounga mein yahin,
gar jeena pada tumhare pyar bina mujhe kahin...!!!

------------------------------------------------------------------------------

Dil ko dhakadna sikha doon wo ishq hoon..
Husn ko aur haseen bana doon wo ishq hoon..

Mere bina tera har jalwa hai bemaani..
Teri alag pehchan bana doon wo ishq hoon..

Mujhse nazren mila ke to dekh..
Tujhe nigahon me basa loon wo ishq hoon.
-----------------------------------------------------

ker reha tha gham e jaan ka hisaab
ajj tum yaad be hisaab aaaye



gar mujhe bhula paaye to mujhe bhi samjhana
dill se naqash yaadun k kistarah nikalte hain


KITNA YAAD AATE HO POCHTE HO KIU MUJH SE
JITNAAA YAAD KARTE HO UTTNNE YAAD AATE HO


CHAMAK utthta hai sar e shaam teri yaad ka chaand
kabhi tareeek na dekhi shab e furqat main ne


kuch log khaayalon se chale jaain to sooain
beete howe din raat na YAAD AAain to sooain
chehre jo kabhi hum ko dikhaayi nahi dain ge
aa aa k tasawur main na tardpaain to sooain


ho gai dill ko teri Yaad se ik nisbat khas
abb to shayad hi mayasar kabhi tanhaayi ho

qabaaye jism k her taar se guzarte howe
kiran ka payaar mujhe aaftaab kar de ga
meri tarah koi hai jo zindagi aappni
tumhaari YAAD k naam intasab kar de ga


rooh ko tardpa rehi hai unki yaad
dard ban k chaah rehi hai unki yaad
ishq se ghabra rehi hai uki yaad
rukte rukte aarehi hai unki yaad



unn se bhii cheen lo ge yaad appni
jin kaa imaan ho gai ho gi

No comments:

Post a Comment